Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Tum Kehte Ho
Sunidhi Chauhan
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Tum kehte ho kavita likh do
Mujhe khoon bahana padta hai
Shabdon ki kheencha taanee mein
Nabzon ka dhaaga kat ta hai
Tum kehte ho kavita likh do
Gam ke nukeele nashtar se
Dil par gud vaana padta hai
Banjar kaagaz ke seene me
Khanjar ban jana padta hai
Vo gali jahan woh rehta tha
Us gali mein jana padta hai
Uski har baat bayaan karke
Phir naam mitana padta hai
Mujhe khoon bahana padta hai
Tum kehte ho kavita likh do
Nazmon-gazalon ke jhagde se
Zakhmon ko chorana padta hai
Vo aks jise main yaad nahin
Use raks dikhana padta hai
Saare tevar girvi rakh kar
Isko chur wana padta hai
Waah-waah ke maikhane mein dhut
Ghar lekar aana padta hai
Mujhe khoon bahana padta hai
Tum kehte ho kavita likh do
Paagalpan ki had ko chu kar
Phir wapas aana padta hai
Aatishbaazi aatishbaazi
Khud ko hi jalana padta hai
Sab chaturai bik jaati hai
Jab shunye kamana padta hai
Zevar nahin taweez hai ye
Parton mein chupana padta hai
Mujhe khoon bahana padta hai!
Tum kehte ho kavita likh do