Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Wrap Up
ASAD
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
(I'm a flyer of my universe
Oh yeah, it's open, having no end
On my way to the end of life
Resting my wings for a time
As it was, 'cause I did my-)
Ayy, ayy, ayy, ayy
Thorha shughal mela to chalta hai zindagi mein
Aaj hum ban chuke hain woh jo hum kal nahi thay
Yain daalay hue humne yahan har galli mein
Kabhi kabhi kuch bhi likh deta hun har-barhi mein
Kabhi lagay saara theek hogya hai
Ghar waalay hain kehte mujhe, larhka dheet hogya hai
Unko lagta hai ke larhka yeh ajeeb hogya hai
Kabhi khud ko hi mai bolun "Tu ghareeb hogya hai, ja paise kama"
Mera abba mujhe daant'ta hai
Mera future jaraha neeche, lagay shaam sa ye
Ab sukoon bas milega kahin baahir jaa ke
Ho jo art pe is shaq, tou phir aazma le
Apni nasihat rakho paas mujhe na suna
Tere numbers rakhun lun pe, tu na gina
5'8, hun 18, rung saanwla
Girgiton se chirh, please thora rakhein faasla
Larhke horahe hain chaurhe yahan khamkhwa
Feature chahiye mujhe Hashim Nawaz ka
Flow itna sick mujhe hogya bukhar tha
Aaj bhi hun mai aur kal bhi berozgar tha
(Kal bhi berozgaar tha)
(Kal bhi berozgaar tha-)
Chahiye mujhe paisa nai milti kyun mujhe nokri?
Iss mulk se ab nafratein inn raghon mein hain daurhti
Yahan tou mai zehar bhi ab kar sakta afford nahi
Tou karun kia mai bol tu ab bachi koi hope nahi
4 kandoun se hai pehle chahiye four wheela
Udhaar chahiye hon jo lafz, mujhe call mila
Par iska matlab yeh nahi hai ke mai buhut wela
Ankhein band horahi hai jaake coffee la
Hogaye hain kaafi khamosh
Khoya sab phir khoya khud ka hosh
Ek sangi betha Dubai, ek Shahkot
Fake Jordans, utte payi aa mai cargo
Meri bas hogayi hai local vans ki sawari se
Kuch paison ke liye poore mahine ki khuwari se (ayy, ayy)
Fuckin' hell mujhe chahiye ab ek gaari hai (vroom, vroom)
Par kia karun mai, meri jebein abhi khaali hain (damn, damn)
Zehan phatte mera shor se
Hum baithe yahan ab bas khwaabon ko hain jorhte
Hamesha peeche rehgaya mai har ek daurh mein
Hate myself, khud pe karun na ghour mai
Jo bhi likha, kisi pe asar nahi hua
Jo bhi likha, kisi ko badal nahi saka
Jab bhi taare dekhun aasman pe toot'te hue
Mujhe hamesha unme mera aks hi dikha
Ab hain koi gillay karne ko nahi
Hum muntazir kharhe wo kehte "Inhe jalne do wahin"
Woh kehte apne thay, magar thay woh nahi
Dil tootnay ke liye thay, bikharne ko nahi
Ghar ka laadla tha, ab baap se na banay
Maa ko dekhun rotay hue, raat bhi na katay
Mai waja hun sab pata hai, raaz bhi na rahay
Sab juda hain, sab khafa hain, baat bhi na karein
Khoye loag buhut, par ab malaal nahi
Har jawab mein tha "Na", ab koi sawaal nahi
Faraq nahi parhta mujhe, poochte jo haal nahi
Kinda selfish, kisi ka bhi ab khayal nahi, damn
Kahan aagaye hum?
Kahan se aaye thay, aur kahan ko hain jarahe hum?
Taaroun ki roshni ke talle gunguna rahe hum
Buhut azeez tha, ab phir wohi kinaare pe hum
That's a wrap