Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Arjuna vishada yoga Prathama Adhyaya Verse 04
Shailendra Bharti
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
अत्र शूरा महेष्वासा भीमार्जुनसमा युधि
युयुधानो विराटश्च द्रुपदश्च महारथः
धृष्टकेतुश्चेकितानः काशिराजश्च वीर्यवान्
पुरुजित्कुन्तिभोजश्च शैब्यश्च नरपुङ्गवः
युधामन्युश्च विक्रान्त उत्तमौजाश्च वीर्यवान्
सौभद्रो द्रौपदेयाश्च सर्व एव महारथाः
In teen shlok mein
Duryodhan Pandu putron ki sena ke mahan yoddhaon ka naam le rha hai
Jab bhi yuddh hota hai to aap apne saamne khadi sena
Us sena ke yoddhaon ko jaanchte aur parakhte hain
Waise he Duryodhan bhi kar rha hai
Duryodhan Dronacharya se kehta hai
"Bade-bade dhanushon waale
Tatha yuddh mein Bheem aur Arjun ke samaan shoorveer, saatyakeey aur virat
Tatha maharathi Raja Drupad, Dhristhaketu aur Chekitaan
Tatha balwaan Kaashiraj, Purijid, Kuntibhoj aur manushyon mein shresht shaivya
Prakrami Yudhamanyu taha balwaan Uttmauja
Subhadra putra Abhimanyu avam Dropadi ke paancho putra, ye sabhi maharathi hain"
Isse humein ye pata chalta hai ki chahe shatru ho ya shatru ke jaisi samasya
Uske baare mein sabkuch jaanna chahiye
Doston, samasya ke har pehlu se humein waqif hona chahiye
Samasya ke har part, uske ang ke baare mein maalom hona chahiye
Jaisa ki Duryodhan bhi kar rhe hain