Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aik Bhai
Hashim Nawaz
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Hey yo Ink, put some sauce on it
Sagga bhai mera pardes mein hai
Naam ka bhai aik kisi aur ke bhes mein hai
Aik bhai khoya duniya ki race mein hai
Aik bhai phassa phir se kisi case mein hai
Aik bhai jis ko pata mere saaray raaz
Aik bhai jis k pata mujhe saaray raaz
Aik bhai mere se hai ziada samajh-daar
Aik bhai jis ko kuch bhi ata samajh na
Aik bhai mera bad-kirdaar hai
Jo ke thora mein bhi hun toh bolun ussay kya mein
Aik bhai mera rehta naraaz hai
Baat nahi karta bas karta salaam hai
Aik bhai mera aata nahi kaam hai
Aik bhai ke na aata kabhi kaam mein
Aik bhai jis ka bhool jata naam mein
Aik bhai mera bhai nahi saanp hai
Aik bhai jis ko rakhta mein lun pe
Aik bhai mera pura hi lun hai
Aik bhai lena bhoolta na badlay
Aik mere se bhi behtar parh leta shaklein
Aik bhai mera rakhta hai aslaa
Pеhli call ussay jaati jab bhi hota masla
Mere jootay mein na kabhi aatay us kе paer
Lekin mera aik bhai sada saath mere chalta
Aik bhai tarbiyat bina hua barra
Aik bhai hai jo haqq pe hi rehta kharra
Rabba parhez gaaron ko tu rakhin mere saath
Aik bhai jis ki waja se mein chorun gunahh
Aik bhai mera nasha karta khule aam
Aik bhai gaali sun ke jiske khultay kaan
Aik bhai ungal par hamesha deta baannn
Aik bhai mera aivein rehta pareshaan
Aik bhai sab ko kehta uska sab se bara
Aik bhai apnra hathaan naal ae kita rarraa
Aik bhai kehta uska ab ni hota kharra
Aik bhai ne ki shaadi ab wo shaadi shuda
Aik se zyada bhai mere hein shaheed huay
Wo sab hue amar sada ameer huay
Aik se zyada bhai mere jinhein mout ka darr ni
Un ke liye nahi lafz kaise bataon mazeed tujhe
Aik bhai mera dekhta bas sapne
Aik bhai mera dekhta bas apne
Aik bhai pe na aayi zimmadaari abhi
Aik bhai jis ki aayi abhi daari nahi
Aik bhai mera meri tarha rapper
Khair wo to kaafi saaray hein yahan pe
Ye bane bhai par nai pata hein kahan ke
Hum nhi dekhtay hein zaat saath gaanay jab banatein
Aik bhai mera apna hi aashiq hai
Aik bhai kehta khud ko musaafir hai
Aik bhai mujhe lagta nabaaligh hai
Aik bhai khud ko samajhta aalim hai
Aik bhai mera ghussa rehta phone mein
Aik bhai kehta bachi us ki sau hai
Aik bhai mera bann'a chahta mere jaisa
Us bhai ko na pata shayad kon mein
Aik bhai bila waja karta call mujhe
Aik bhai bina follow karta stalk mujhe
Aik bhai baar baar karta block mujhe
Aik bhai ne tha kia double cross mujhe
Aik bhai mera bilkul shareef hai
Aik bhai mera dil ka faqeer hai
Aik bhai mera bhai ho ke fake hai
Aik bhai mera mujh se bhi real hai
Har bhai mera khaamiyon se bharra parra
Kabhi kabhi chutiyapa karta kabhi karta bhala
Kabhi kabhi mujhe lagta mera aqs hein ye
Jaise meri tarha iss jaga mein mei nai qala
Toota apna jo tha auron ka dil mein ne torra
Rakhna chahiye tha par haathon ko na rakha hola
Matlab hota mukhtalif tha jab bhi mein ne bola
Maaf karna bhaiyo agar maine kabhi tumhein chhora
Hey yo Ink, put some sauce on it