Skip to content

Hoke Majboor Mujhe (with Manna) - Haqeeqat - 1961

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Hoke majboor mujhe usne bhulaya hoga Hoke majboor mujhe usne bhulaya hoga Zeher chupke se dawa jaan ke khaya hoga Hoke majboor mujhe usne bhulaya hoga Hoke majboor mujhe... Dil ne aise bhi kuch afsane sunaye honge Dil ne aise bhi kuch afsane sunaye honge Ashk aankhon ne piye aur na bahaye honge Band kamre mein jo khat mere jalaye honge Ek-ek harf jabeen par ubhar aaya hoga Hoke majboor mujhe usne bhulaya hoga Hoke majboor mujhe... Usne ghabra ke nazar laakh bachayi hogi Usne ghabra ke nazar laakh bachayi hogi Dil ki lut'ti hui duniya nazar aayi hogi Mez se jab meri tasveer hatayi hogi Mez se jab meri tasveer hatayi hogi, haaye Har taraf mujhko... Har taraf mujhko tadapta hua paaya hoga Hoke majboor mujhe usne bhulaya hoga Hoke majboor mujhe... Chhed ki baat pe armaan machal aaye honge Chhed ki baat pe armaan machal aaye honge Gham dikhave ki hansi mein ubal aaye honge Naam par mere jab aansoo nikal aaye honge Naam par mere jab aansoo nikal aaye honge Sar na kaandhe se... Sar na kaandhe se saheli ke uthaya hoga Hoke majboor mujhe usne bhulaya hoga Hoke majboor mujhe... Zulf zid karke kisi ne jo banayi hogi Zulf zid karke kisi ne jo banayi hogi Aur bhi gham ki ghata mukhde pe chhayi hogi Bijlee nazron ne kayi din na girayi hogi Rang chehre pe kayi roz na aaya hoga Hoke majboor mujhe usne bhulaya hoga Zeher chupke se dawa jaan ke khaya hoga Hoke majboor mujhe...