Karam
Shriyash Sahu
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Lete lete dekhun Khali deewarien
Uth chuki hai duniya hum sone ja rahe
Aankhon mein nind per Bechain hai Ye Mann
Ab dikhenge sapne ya fir ab uthegi Kalam
Fir se karvaan shuru Kiya kahaniyon ka
Ghoom fir ke yadien Teri kyon mujhe satati
Per kamyabi pane ki talab hai lag chuki mujhe
Aisi chhoti chhoti baatein ab mujhe Na khati
Panne aksar ab Khali se rahte hain
Bhar bhi jaaye panne Dil bhara sa lagta nahin
Gane chalte har samay hai mere kanon mein
Man hai manchala ab ganon se bhi rukta nahin
Aankhen band karke chal hustle Ke shor mein
Par banna chahta hun ek main unka crore mein
Khali kamra aur Kalam hai meri takatein
Kanchit shaswatam main Karta jaunga karam
Raaton ki pariyon se hu sunta mein jahani teri
Sachh hai ya jhuthi kya pata
Aur khamoshi me hi hun rehta uljha aksar apni
Khwahishon me hoon lapata
Beet raha samay hai jaise behta paani
Jee raha hun mein sunake chund kahani
Hote hain deewaron ke bhi kaan log kehte
Suno sangharsh ke kisse mere kamre ki zubani
Khamiyon ko lekar Jeb mein main Apne
Hun is talash mein Jo samjhe mere sapne
Na ant ki khabar aur na Anant ki fikar hai
Jana itna upar Jahan kisi ka na zikar hai
Bhar chuke hain panne soch ho chuki hai sunn
Raat Kali Aankhen Lal chal rahi hai dhun
Sukhi ja rahi Kalam hai meri zindagi ki
Samay hai aa chuka Musafir ae tu raste chun
Aankhen band karke chal hustle Ke shor mein
Par banna chahta hun ek main unka crore mein
Khali kamra aur Kalam hai meri takatein
Kanchit shaswatam main Karta jaunga karam