Bade Achchhe Lagte Hain
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Bade achhe lagte hain
Kya?
Yeh dharti, yeh nadiya, yeh raina
Aur... aur tum
Bade achhe lagte hain
Yeh dharti, yeh nadiya, yeh raina
Aur... aur tum mm mmmm
O o o maajhi re
Jaiyo piya ke des
Hum tum kitne paas hain
Kitne door hain chaand sitaare
Sach poocho toh mann ko jhoothe lagte hain yeh saare
Hum tum kitne paas hain
Kitne door hain chaand sitaare
Sach poocho toh mann ko jhoothe lagte hain yeh saare
Magar sacche lagte hain
Yeh dharti, yeh nadiya, yeh raina
Aur... aur tum mm mmmmmm
Hmmmmm
Tum in sabko chhod ke kaise kal subah jaaogi
Mere saath inhe bhi toh tum yaad bahut aaogi
Tum in sabko chhod ke kaise kal subah jaaogi
Mere saath inhe bhi toh tum yaad bahut aaogi
Bade achhe lagte hain
Yeh dharti, yeh nadiya, yeh raina
Aur... aur tum mm mmmmm
Bade achhe lagte hain
Hmmmm hmmmm hmmm hmmmm hmm
Hmm hmm hmmm