Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Yeh Mat Kaho Khuda Se
Brahmakumari Asmita
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Ye mat kaho khuda se, meri mushkilen badi hain

Ye mushkilon se keh do, mera khuda bada hai
Aati hain aandhiyaan toh kar unka khair-maqdam

Tufaan se hi to ladne khuda ne tujhe gadha hai
Ye mat kaho khuda se, meri mushkilen badi hain
Ye mushkilon se keh do, mera khuda bada hai
Mera khuda bada hai, mera khuda bada hai
Agni mein tap ke sona hai aur bhi nikharata

Durgam ko paar karke Himalaya koi chadha hai
Laayegi rang mehnat aakhir tumhaari ek din

Hoga vishaal taruvar woh beejh jo pada hai
Ye mat kaho khuda se, meri mushkilen badi hain
Ye mushkilon se keh do, mera khuda bada hai
Mera khuda bada hai, mera khuda bada hai
Woh sarv shaktiyon se jab saath hai humaare

Har kaam uske rehte, aasaaniyon se hua hai
Kabhi haarna na, himmat ka kadam badhaao

Hazaaron kadam badhaane woh saamne khada hai
Ye mat kaho khuda se, meri mushkilen badi hain
Ye mushkilon se keh do, mera khuda bada hai
Ye mushkilon se keh do, mera khuda bada hai
Mera khuda bada hai
Mera khuda bada hai
Mera khuda bada hai