Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Bekhayali (From "Kabir Singh")
Sachet Tandon, Sachet-Parampara, Irshad Kamil, Sandeep Reddy Vanga, Shahid Kapoor, Kiara Advani
Popularity ยท Low
+
๐ณ๐ฌ Hausa ยท Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
ย
Hmmm Hmmm...
Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayal Aaye
Kyun Bichadna Hai Zaroori Ye Sawaal Aaye
Teri Nazdeekiyon Ki Khushi Behisaab Thi
Hisse Mein Faansle Bhi Tere Bemisaal Aaye
Main Jo Tujhse Door Hu Kyun Door Main Rahun
Tera Guroor Hu Uun
Aa Tu Faansla Mita Tu Khwaab Sa Mila Kyun Khwaab Tod Du
Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayal Aaye
Kyun Judai De Gaya Tu Ye Sawaal Aaye
Thoda Sa Main Khafa Ho Gaya Apne Aap Se
Thoda Sa Tujhpe Bhi Bewajah Hi Malaal Aaye
Hai Ye Tadpan Hai Ye Uljhan Kaise Jee Lu Bina Tere
Meri Ab Sabse Hai Ann-Ban Bante Kyun Ye Khuda Mere O Oo
Hmmm Hmmm...
Ye Jo Log-Baag Hai Jungle Ki Aag Hai Kyun Aag Mein Jalu
Ye Nakaam Pyar Mein Khush Hai Ye Haar Mein In Jaisa Kyun Banu
Raatein Dengi Bata Neendon Mein Teri Hi Baat Hai
Bhoolun Kaise Tujhe Tu Toh Khayalon Mein Sath Hai
Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayal Aaye
Kyun Bichadna Hai Zaroori Ye Sawaal Aaye
Nazaron Ke Aage Har Ek Manzar Ret Ki Tarha Bikhar Raha Hai
Dard Tumhara Badan Mein Mere Zehar Ki Tarha Utar Raha Hai
Nazaron Ke Aage Har Ek Manzar Ret Ki Tarha Bikhar Raha Hai
Dard Tumhara Badan Mein Mere Zehar Ki Tarha Utar Raha Hai
Aa Zamane Aazma Le Ruthta Nahi
Faanslon Se Haunsla Ye Tutt'ta Nahi
Na Hai Wo Bewafa Aur Na Main Hu Bewafa
Wo Meri Aadaton Ki Tarah Chhut'ta Nahi
ย