Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Kalakaar Banna Hai
Aditya Pushkarna
,
Anushka Baduwal
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Umar 9 Saal Ki Thi Toh Main Ziddi Bhi Hoti Thi
Ghar Ki Chhoti Beti Ghar Mein Apne Rani Bhi Hoti Thi
Maa Thi Daant Ti Toh Main Papa Ki Godi Mein Roti Thi
Aaj Sochti Hoon Kahan Gaye Saare Woh Din
Kaisa Sehma Mera Dil Ke Kaagaz Dost Bangaye
Gham Ki Gali Ke Musaafir Hum Mashoor Bann Gaye
Phir Ek Roz Zakham Jeene Ka Dastoor Bann Gaye
Aur Jab Tak Aai Samajh Jaana Hum Majboor Bann Gaye
Kandhon PE Zimmedaari Bhaari Wazan Kalam Mein Dikhta Hai
Woh Bhi Sochte Iska Dil Yeh Sab Kya Sochke Likhta Hai
Kiraae Ki Chhat Maange Marhammat Jeb Mein Ek Nahi Rupya Hai
Kaun Kehta Hai Ke Sapnon Ka Koi Daam Nahi Lagta Hai
Sab Bikta Hai Ho Jab Zaroorat Aansun Roz Ka Kharcha Hai
Maine Dekha Aisa Waqt Dil Ek Dost Ko Tarsa Hai
Phir Ek Roz Woh Tadpa Hai Toh Waqt Ne Usko Bhi Parkha Hai
Bikhar Ke Reh Gaya Magar Yeh Bhi Toh Roz Ki Charcha Hai
Maine Bola Maa Ko Mujhe Kalakaar Banna Hai
Daulat Shohrat Se Pehle Ek Accha Insaan Banna Hai
Likhti Dil Se Hoon Sab Isliye Dil Ko Saaf Rakhna Hai
Zameen PE Reh Ke Mujhe Aasmaan Ko Paar Karna Hai
Kuch Khaas Nahi Mujhe Ab Kuch Aam Likhna Hai
Dil Se Dil Tak Jaane Wala Dil Ka Haal Likhna Hai
Apna Har Dard Pannon PE Behisaab Likhna Hai
Bachaa Kuch Nahi Ab Mujhe Itihaas Likhna Hai
Kal Se Behtar Likhna Hai Mujhe Kuch Aisa Likhna Hai
Apni Kismat Mein Ek Hasta Parivaar Likhna Hai
Kisi Ka Saath Likhna Hai Kisi Ke Baad Likhna Hai
Himmat Karke Apne Haq Mein Thoda Pyaar Likhna Hai
Kala Ka Maan Rakhna Hai Kalam Ka Naam Karna Hai
Marte Dum Tak Apni Kalam Se Bas Pyaar Likhna Hai
Aur Mile Zillat Bhi Agar Poori Umar Zamaane Se
Mujhe Phir Bhi Agle Janam Ek...
Kalakaar Banna Hai...
Kalakaar Banna Hai...
Kalakaar Banna Hai