Skip to content

Kya Jaipur Kya Dilli

Rahgir Live
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Chomu ke chaurahe par ek buddhe baitha nanga Aate jaaton ko puchta ke kyun bhai changa Jo ruk jaata usse bolte ke sun bhai setha Arey jaa Agra munh me lele aagre ka petha Ya Jaipur jaake rangwale pichwada gulabi Mujhe laga ke koi pagal hai ya fer sharabi Mai vella tha jaa baith gaya uske baaju me Pucha babaji kyu laayi hai tune yeh chillam-chilli Woh bola jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey kya Jaipur kya Delhi bhai re kya Jaipur kya Delhi Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey kya Jaipur kya Delhi kya Patna, Ludhiana, Chandigarh Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kulu, Chamba, Sikar Jhunjhunu, Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi Kalkatta, Indore, Chennai, Guwahati, Aizawl, Madurai Sirsa, Surat aur Tiruchirappalli Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Woh bola mere gaon me ek shaam ek banda Ghar pe lauta thaka hara Uski biwi gayi thi padosiyon se Maangne bhains ka chara Par uss bande ko ghar aate hi Chai chahiye hoti thi Aur nahi kisi ki iss baare me Raay chahiye hoti thi Woh lauti ghar toh dhar liya usko Diye laat aur ghoonse Arey moot nikal gaya salwaar me Khoon nikal gaya munh se Arey moot nikal gaya salwaar me Khoon nikal gaya munh se Phir ussi haal me pakad bhagona gayi kitchen ke andar Ek aag wahan chulhe me thi Ek uske mann ke andar Ek aag wahan chulhe me thi Ek uske mann ke andar Ek aag wahan chulhe me thi Ek uske mann ke andar Aur dukh ki baat toh yeh hai Aise kisse aam hai har kshetra me Plain ho chahe hilly Dukh ki baat toh yeh hai Aise kisse aam hai har kshetra me Plain ho chahe hilly Kyuki Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey kya Jaipur kya Delhi bhai re kya Jaipur kya Delhi Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey kya Jaipur kya Delhi kya Patna, Ludhiana, Chandigarh Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kulu, Chamba, Sikar Jhunjhunu, Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi Kalkatta, Indore, Chennai, Guwahati, Aizawl, Madurai Sirsa, Surat aur Tiruchirappalli Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Mujhe laga ke baba hai kuch jyada hi badbola Par usne meri baat kaat di jese hi munh khola Woh bola khandela ke baajar ek shaam hua yeh kissa Ke ek thele se ek bhukhe ne utha liya ek samosa Phir wahan khade the sabne dhoya De muncho pe tanv woh dara singh ho gaye Aur ghar jaakar ke apni apni beewiyon ki Baahon me so gaye Agle din usi chowk par usi jagah par Ek siskte majdoor ke ek thekedaar Bhai kha gaya paise Aur wahin khade the chuppi saadhe Muncho waale bhainse Arey seena dhans gaya moonche neechi Ho gayi nikar dheeli Arey seena dhans gaya moonche neechi Ho gayi nikar dheeli Isiliye toh kisi shyaane ne kaha hai Ke jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey kya Jaipur kya Delhi bhai re kya Jaipur kya Delhi Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey kya Jaipur kya Delhi kya Patna, Ludhiana, Chandigarh Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kulu, Chamba, Sikar Jhunjhunu, Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi Kalkatta, Indore, Chennai, Guwahati, Aizawl, Madurai Sirsa, Surat aur Tiruchirappalli Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi Arey jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi