Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Ishq
Zubeen Garg
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Ishq namazi, ishq hai Kaaba
Kar le ishq ka sajda
Ishq ka rutba sab se ooncha
Rabb bhi ismein basta
Ishq junoon bhi hai, ishq maza bhi hai
Ishq sitam bhi hai, ishq saza bhi hai
Ishq junoon bhi hai, ishq maza bhi hai
Ishq sitam bhi hai, ishq saza bhi hai
Yeh hua jisko, wahi jaane
Ishq namazi, ishq hai Kaaba
Kar le ishq ka sajda
Jis mein ishq ka dard samaye
Woh dil sukh ka sagar hai
Jo ik baar ishq mein dooba
Chaah kar bhi na nikla hai
Dil dariya mein ek moti hai
Jisko taqdeer piroti hai
Pyaar ke paawan dhaagon mein
Ishq namazi, ishq hai Kaaba
Kar le ishq ka sajda
Ishq-mohabbat woh kya jaane
Jisne kabhi na ishq kiya
Dard-e-ulfat mein bhi maza hai
Ik ghoont maine iska piya
Yeh hai Rabb ki raza, qismat se mile
Meetha yeh zeher rag-rag mein chale
Sab se hi rahe anjaana
Ishq namazi, ishq hai Kaaba
Kar le ishq ka sajda
Ishq ka rutba sab se ooncha
Rabb bhi ismein basta
Ishq junoon bhi hai, ishq maza bhi hai
Ishq sitam bhi hai, ishq saza bhi hai
Ishq junoon bhi hai, ishq maza bhi hai
Ishq sitam bhi hai, ishq saza bhi hai
Yeh hua jisko, wahi jaane
Ishq namazi, ishq hai Kaaba
Kar le ishq ka sajda