Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Dil Kahen Ruk Ja Re Ruk Ja
Mohammed Rafi
Popularity ยท Low
+
๐ฎ๐ฉ Madurese ยท Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Dil kahe ruk jaa re ruk jaa, yaheen pe kaheen
Jo baath is jagah hai kaheen par nahin
Jo baath, jo baath is jagah hai kaheen par nahin
Dil kahe ruk jaa re ruk jaa, yaheen pe kaheen
Jo baath is jagah hai kaheen par nahin
ย
Ho, parbat upar khidki khole jhaanke sundar bhor, chale pavan suhaani
Nadiyon ke ye raag raseele, jharanon ka ye shor, bahe jhar-jhar paani
Mad bharaa, mad bharaa samaa, ban dhulaa-dhulaa
Har kalee sukh pali yahaan, ras ghulaa-ghulaa
To dil kahe ruk jaa re ruk jaa, yaheen pe kaheen
Jo baath is jagah hai kaheen par nahin
Jo baath, jo baath is jagah hai kaheen par nahin
ย
Neelee-neelee jheel mein jhalke nil gagan ka rup, bahe rang ke dhaare
Unche-unche ped ghanere, chhanati jinase dhoop, khadey baanh pasaare
Champai-champai fizaa, din khilaa-khilaa
Daali-daali chidiyon ki sada, sur milaa-milaa
To dil kahe ruk jaa re ruk jaa, yaheen pe kaheen
Jo baath is jagah hai kaheen par nahin
Jo baath, jo baath is jagah hai kaheen par nahin
ย
Pariyon ke ye jamghat jinke phulon jaise gaal, sabhee shokh hathili
Inamen hai vo alhad jiski hirani jesee chaal, badi chil-chhabili
Manchali-manchali ada, chab javaan-javaan
Har ghadi chadh raha nasha, sud rahee kahaan
To dil kahe ruk jaa re ruk jaa, yaheen pe kaheen
Jo baath is jagah hai kaheen par nahin
Jo baath, jo baath is jagah hai kaheen par nahin
ย