Rishton Mein Darar Aayee
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Rishton mein daraar aayi
Rishton mein daraar aayi
Bete na rahe bete, bhai na rahe bhai
Rishton mein daraar aayi
Parkha hai lahoo apna
Bharta hai zamane ko
Toofan mein koyi bhi
Aaya na bachane ko
Saahil pe nazar aaye...
Saahil pe nazar aaye kitne hi tamashayi
Rishton mein daraar aayi
Dhoonde se nahin milta
Rahat ka jahaan koyi
Toote huye khwaabon ko
Le jaayein kahaan koyi
Har mod pe hoti hai...
Har mod pe hoti hai ehsaas ki ruswayi
Rishton mein daraar aayi
Zakhmon se khili kaliyaan
Ashkon se mili shabnam
Patjhad ke dareeche se
Aaya hai naya mausam
Raaton ki syaahi se...
Raaton ki syaahi se li subahon ne angdayi