Skip to content

Sheikh Jee Baith Kar Maekashon Mein

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Har kali mast-e-khwab ho jaati Pati pati gulab ho jaati Tu ne daali na mefishan nazren Warna shabnam sharab ho jaati Bhool ho jaati hai yun taish mein aya na karo Faasle khatam karo baat barhaya na karo Yeh adaaein yeh ishaare yeh nigahein tauba in adaaon ko sar-e-aam lutaya na karo Aap ke waastay gunah sahi Hum piyen to sawaab banti hai Sau ghamon ko nichornay ke baad Ek katra sharaab banti hai Dekh kar aap ki jawani ko aarzoo-e-sharab hoti hai Roz tauba ko torta hun mein roz niyat kharaab hoti hai Jo bhi karna hai aab-o-taab se kar Mashwara mah-e-taab se kar Inteha ki khabar nahin mualoom Ibtida saghar-e-sharaab se kar Saaqi sharab laa ke tabeeiyat udaas hai Mujrib rubab utha ke tabeeiyat udaas hai Tauba to kar chuka hoon magar phir bhi aye adam thora sa zehr laa ke tabeeiyat udaas hai Shaikh jee baith kar maikashon mein Tark-e-mai ka irada na karna Shaikh jee baith kar maikashon mein Tark-e-mai ka irada na karna Shaikh jee baith kar maikashon mein Tark-e-mai ka irada na karna Kufr hai aisi naimat ko paa kar Shukr ka aik sajda na karna Kaali kaali ghata cha gayi hai Kaali kaali ghata cha gayi hai Chal rahi hai hawa thandi thandi Rut nasheeli hai do ghoont pee lo Duniya walon ki parwa na karna Rut nasheeli hai zara do ghoont pee lo Zid na keejay janab pee leje Fasl-e-gul hai sharab pee leje Aagay chal kar hisaab hona hai Iss liye be-hisaab pee leje Aye zahid a tu sharab pee le Na kar tu kuch ichtinab pee le Mein teri maanoon namaz parh loon Tu meri maan ab sharaab pee le zara do ghoont pee lo Rut nasheeli hai... Iss rang badalti duniya mein Halaat ki niyat theek nahin Tauba ka iraada badla hai barsaat ki niyat theek nahin Zara do ghoont pee lo Rut nasheeli hai... (Raag) Zahid mujhe jannat ka talabgar na kar Jo bas mein tere nahin woh iqraar na kar Woh rindi-o-masti nahin tera masliq Saaqi ke tabarruk se to inkaar na kar Zara do ghoont pee lo Rut nasheeli hai... Yeh cham cham kar ke sawan aya Mei ke dar se bhaagi tauba ab tum bhi zara do ghoont pee lo Rut nasheeli hai. Rut nasheeli hai do ghoont pee lo Duniya walon ki parwa na karna Chup ke saaqi ke daman mein chakh lo Ho ga eimaan taza tumhara Aaj fursat mili hai gunah ki Paarsaai ka dawa na karna Kiss tarhe ho gi bakhshish tumhari Josh aye ga kaisay khuda ko Uss ki rehmat pe kar kay bharosa Kufr hai iss gunah ka na karna Kya ghazab kar rahe ho khudara Mai se labrez saghar na toro Toot kar baddua jaam dein ge noshi se tauba na karna Keh rahe ho bura mai ko bismil Kyon gunah mol lete ho sar par Khud pilayen gi jannat mein hoorein Mai ko duniya mein ruswa na karna Shaikh jee baith kar maikashon mein Tarke mai ka irada na karna