Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
baarish
10A, Farak, Shyko Music
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Koshishon ka mol kya jab
Sar pe nakaami chadhi
Saadho to main dard keh lu
Sunne vale ki kami
Zakhm saare, fir jawan hain
Aaj keh jaane do
Tod denge kaid ek din
Saans tham jaane do
Vo zameen hai, vo makaan hai
Kho chuka par ghar kahin
Kaagazon pe din guzaaru
Khaamoshi zakhm dhak rahi
Chalaang lagane aaya hoon dariya mein
Dariya ka paani mera bhala sochta hai
Vo tasveer banata hai meri, pedon ko sookha zakhmo ko hara sochta hai
Main sochta hoon jisko din aur raat
Vo mere baare mein zara sochta hai?
Main to us hi ke baare mein sochta hoon
Vo khud ke baare mein kya sochta hai
Jab haath mein chaaku ho aur pet mein bhookh
To gareeb thak haar kar gunaah sochta hai
Tu khuda ke baare mein kuch bhi soch
Khuda tere baare mein haan sochta hai
Khuda tere baare mein haan sochta hai
Zakhm saare, fir jawan hain
Aaj keh jaane do
Tod denge kaid ek din
Saans tham jaane do
Vo zameen hai, vo makaan hai
Kho chuka par ghar kahin
Kaagazon pe din guzaaru
Khaamoshi zakhm dhak rahi