Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
jawab de
farhan khan deetocx
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Woh tujhe chhoota hai kaise?
Jaise main chhoota tha waise?
Kya uske bhi seene pe soti ho?
Zulfein hatata hai chehre se tere?
Khush hota hai tere kya hansne pe?
Rota hai kya tere rone se pehle?
Kya usse bhi karti ho baatein fizool ki
Raaton ko sone se pehle?
Kya usko bhi gale lagati ho waise
Jaise tum lagati thi mujhko?
Kya uski bhi aankhon se aankhein milane pe
Nazar tum aati ho khud ko?
Kya choomta hai tere maathe ko?
Kya choomta hai tere haathon ko?
Kya woh bhi samajhta hai tujhko?
Kya padh leta hai woh bhi, haan, teri aankhon ko?
Kya usne bhi padhi namaz
Shukrane ki tere mil jaane ke baad?
Kya usne bhi dekhi hai jannat
Tere be-parda ho jaane ke baad?
Kya woh bhi batata hai
Kitna woh chahta hai tere so jaane ke baad?
Kya woh bhi karega wafa
Chheh mahine tere door jaane ke baad
Kya usko bhi sapne dikhati ho
Jaise dikhati thi mujhko jaga ke?
Kya woh bhi bahane se karta hai phone
Bas sun'ne ke liye awaazein?
Kya woh bhi ibaadat mein teri
Kar deta saari yeh duniya kaza hai?
Na mujhko zaroorat ab teri
Jo poochha hai bas utni baatein bata de
Mere bas itne sawaal hain
Mere bas itne sawaal hain
Mujhko bas itna jawaab de
Mujhko bas itna jawaab de
Mere bas itne sawaal hain
Mere bas itne sawaal hain
Mujhko bas itna jawaab de
Mujhko bas itna jawaab de
Kya uske bhi dil se tum khelogi?
Kya woh bhi aise hi raaton ko tadpega?
Main toh hoon shayar, bata deta baatein
Par kambakht woh kaise sambhlega?
Kya uska bhi khane ka mann nahi hoga?
Aur band hoga darwaza kamre ka
Kya woh bhi chhupa lega khud ko andhere mein
Raaton ko karvatein badlega?
Jab aansoo halaq tak sookha dega
Khuda falak ko zameen tak jhuka dega
Barsega paani, par kya woh bhi
Paani se zyada mohabbat ko paane ko tarsega?
Kya usko bhi murda bana dogi?
Kya uska bhi dil nahi dhadkega?
Kya ghar ki deewaron ko qabar bana lega
Kafan bana lega parde ka?
Kya usko bhi dozakh mein daalogi
Do pal ke liye bas jannat dikha ke?
Oh, Khuda, farebi, kya dard hi dogi
Usko bhi badle sawaab ke?
Kya woh bhi samajh jaayega
Ki mohabbat rehmat nahi, ek azaab hai?
Na mujhko zaroorat ab teri
Jo poochha hai bas utni baatein bata de
Mere bas itne sawaal hain
Mere bas itne sawaal hain
Mujhko bas itna jawaab de
Mujhko bas itna jawaab de
Mere bas itne sawaal hain
Mere bas itne sawaal hain
Mujhko bas itna jawaab de
Mujhko bas itna jawaab de