Chaley Aao Aey Zawwaro
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
HUSAIN (ASWS) HUSAIN (ASWS)
Salam YA HUSAIN (ASWS)...(2)
Bas YA HUSAIN (ASWS)...(2)
YA ALI (ASWS) YA HUSAIN (ASWS)...(2)
Jaha(n) HUSAIN (ASWS) Waha(n) Lailaaha illallah...(2)
Hamare Hai(n) YA HUSAIN (ASWS)...(2)
Abad Wallah YA ZAHRA Maninsa HUSAINA (ASWS) ...(2)
Labbaika YA HUSAIN(ASWS)...(2)
MAULA (ASWS) Labbaik Labbaik Ya Abaabdillah(As)
Aqa Labbaik Labbail Ya Abaabdillah (As)
Aai Mere Maula Shahe Karbala (As)
Bakshia Ka Shifa, Hai Aap Wasila
Rauze Pe Bulalo, Zawwar Bana Do
Qismat Ko Jaga Do, Aai Shahe Shahida (A.S.), Aijaz Dikha Do
Maula (A.S.) Ab Hum Ko Sada Do...(2)
Ezuruni Ezuruni... Ezuruni Aa Hitto
Taarefuni Shafie Kum
Chale Aao, Chale Aao
Chale Aao Aye Zawwar Chale Aao
Meri Aawaz Pe Labbaik Pukare Jaao
Labbaik Ya Hussain (As)...(3)
Chale Aao Aye Zawwar Chale Aao
Meri Aawaz Pe Labbaik Pukare Jaao
Naam Tum Subke Mere Dil Pe Hai Likhe Aao
Apne Maa Baap Ko Is Paak Safar Me Laao
Apne Bacchon Ko Bhi Ehram E Aza Pahanao
Mere Zawwaro Meri Karbobala Aajaao
Ahad Karta Hun Azadaro Shifaat Ke Liye
Aao Zawwaro Chale Aao Ziyarat Ke Liye
Chale Aao, Chale Aao
Khush Raho Aai Meri Rudaad Sunane Walo
Apni Khushion Me Mera Shog Manane Walo
Sare Aalam Me Mera Farsh Bichane Walo
Garmi Sardi Me Meri Kabr Pe Aane Walo
Mujhko Malum Hai Tum Logon Ki Haajat Aao
Tumpe Ho Jaiengi Allah (S.w.t.) Ki Inayat Aao
Chale Aao, Chale Aao
Janibe Karbobala Jub Koi Badhta Hai Kadam
Har Kadam Per Mere Zawwar Pe Hota Hai Karam
Saya Karta Hua Abbas (As) Ka Chalta Hai Alam
Muntazir Rehti Hai Zehra (S.a.) Mere Baba Ki Kasam
Mere Zawaaron Mere Dard Ke Maaro Aao
Meri Maa Fatema Zehra (S.a.) Ke Dularo Aao
Chale Aao, Chale Aao
Tum Jo Kehte Ho Abad Wallah Manind Sa Hussain (A.s.)
Amma Zehra (S.a.) Bhi Yahin Karti Hai Ro Ro Kar Bain
Mere Mazloomi Pe Rote Hai Shahe Badro Hunnain
Mere Baba Bhi Hai Abtak Hai Mere Gam Me Bechain
Tum Nahi Bhoole To Main Bhi Nahi Bhoola Tumko
Yaad Chalte Hue Khanjar Me Bhi Rakha Aao
Chale Aao, Chale Aao
Tum Jo Lehrate Ho Hatha O Me Uthaie Parcham
Tum Ko Maloom Hai Ho Jaata Hai Taaza Mera Gam
Yad Aata Hai Mujhe Khoon Me Dooba Woh Alam
Jis Ke Jhuk Jaane Se Toota Mere Bacchon Pe Sitam
Mere Abbas (As) Ki Jagir Sajane Aao
Hazri Rauze Abbas (As) Pe Kahne Aao
Chale Aao, Chale Aao
Mere Zawwaron Suno, Yeh Zameen Karbobala
Mujhse Pehle To Yahan Koi Bhi Bas Na Saka
Yeh Zameen Karbobala Karb Ka Majmua Hai
Hazrat E Adam (As) O Hawwa (As) Ka Yahani Girya Hai
Shere Ne Hazrat Esa E Ko Yahani Roka Hai
Aur Phir Takhte Suleman Yahani Larza Hai
Is Zameen Per Ibrahim Ka Rahwar Thasa
Paie Moosa Me Lagi Chot Lahu Behne Laga
Zabi Allah (S.w.t.) Ke Haiwan Rahe Pyase Yahan
Kashti E Nooh Se Takraya Yahin Par Toofan
Is Zameen Par To Pareshan Hua Har Insan
Mere Baba (As) Bhi Yahan Karte Rahe Aa Ho Fuga
Meri Hijrat Thi Madine Ki Hidayat Ke Liye
Yeh Zameen Main Ne Kharidi Thi Shahadat Ke Liye
Chale Aao, Chale Aao
Do Moharram Ko Yahan, Mera Rahwar Ruka
Sath Kunba Tha Mera, Mai Akela Bhi Na Tha
Aao Zawwaro Mere Sath Chalo
Tham Kar Dil, Mera Makhtal Dekho
Yeh Makame, Aliakbar (As) Hai Yahan
Mere Bacche Pe Jahan Roi Aza
Yeh Makame Aliasgar (As) Hai Jahan
Aaj Bhi Baithi Hui Roti Hai Maan
Yeh Jaga Woh Hai Mere Zawwaro
Lash E Qasim (As) Hui Paamal Jidhar
Woh Makamat Jo Aate Hai Nazar
Kate Abbas (As) Ke Bazu The Jidhar
Hai Zara Door Jo Rauze Ke Zara
Hai Mere Aun (As) O Mohammed (As) Ke Mazar
Ashr E Ashoor Se Turbat Ke Kareeb
Mera Hur Aur Mera Lashkar Hai Yahain
Aao Yeh Killae Zainabya Hai, Yahin Zainab (S.a.) Ne Yeh Manzar Dekha
Mujhpe Chalta Hua Khanjar Dekha
Mera Aashor Ya Chehlum Ho Mera
Karbala Aata Hai Kunba Mera
Phir Sakina (S.a.) Jo Yahan Aati Hai
Meri Turbat Se Lipat Jaati Hai