Skip to content

Ali Un Wali Ullah

Farhan Razvi
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Goonj raha hai bas yahi naara ho falak ho zami sab ne pukara Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Iskey hi wastey hai maraka e karbobla Deen e islaam may bus iskey siwa kuch bhi nahi Rab ki wahdath bhi nahi or risalath bhi nahi Dey agar iski gawahi to ho kalma pura Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Iskey hi zikra se khaliq ka makaa'n roushan hai Ye azaano may agar ho to azaa'n roushan hai Is se hoti hai jahaano may namaazo ki baqa Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Madar e hyder e karaar chaley aaney par Bangaya tera rajab ko naya dewaar may dar Khaana e kaba ki dewaar ye deyti thi sada Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Rab e dawar ka makaa'n paak bananey kay liye Budh parasti ko ye kaabey se mitaney kay liye Muskuraata huwa hai mohrey nabuwath pay khada Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Sura e khaif ki tafseer baya'n kartey huwey Apney baba ki fazilath ko aya'n kartey huwey Yahi kehta raha naizey pay sar e shahey huda Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Husn e abbas may iska hi to jalwa dekha Dekhtey rehgaya akbàr ka jo chehra dekha Yahi kalma ali asghar kay tabbasum may mila Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Munkir e zaat e Ali ka koi eemaan nahin Jo nahi pardhta hai kalma wo Musalmaan nahin Khol deta hai ye Har aik ka pal mein shajra Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah Parda e ghaib se ay arsh jab ayenge imam Dono alam ka badal jayega lamho nizam Merey moula merey aqa ki zuba'n par hoga Ali un Wali Ullah Ali un Wali Ullah