Skip to content

Har Ek Baat Pe

Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai tumhin kaho ke ye andaaz-e-guftagu kya hai Na shole mein ye karishma na barq mein ye ada koi batao ki vo shoKh-e-tundaKhuu kya hai Ye rashk hai ki woh hota hai hamasuKhan hamse vagarnaa Khauf-e-badamozi-e-ad kya hai Chipak rahaa hai badan par lahu se pairaahan hamaari jeb ko ab haajat-e-rafuu kyaa hai Jalaa hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga kuredte ho jo ab raakh justaju kyaa hai Ragon mein daurte phirne ke ham nahin qaayal jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai Woh chiz jiske liye hamko ho bahisht aziz siva_e baadaa-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai Piyuun sharaab agar khum bhi dekh lu do chaar ye shisha-o-qadaah-o-kuuza-o-subuu kyaa hai Rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi to kis umeed pe kahiye ke aarzoo kya hai Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraataa