Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
haaray
Muaz Sattar
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
tanha si raatein
aur tanha hain hum
khwaabon ki nadiya
mein behtay ye gham
sambhaaloun kya khudko
jo tu bekhabar
ye aansu ye aahein
rahein beasar
ye saath chor kar
paaya kya tu ne wo ghar?
khushiyon bharaa aangan
sajaya kya tu ne magarr
ab bhi ye
shaamein bulaayein tumhe
saavan ye rattiyaan ye kehtay sabhi
kya hi rakhaa hai haan choro ye gham
haaray huey dil kya jeetay kabhi?
haan laut aao ye kya berukhi
sisakta ye dil kehta hai ab bhi
kya hi rakha hai haan choro ye gham
haaray huay dil kya jeetay kabhi?
tum se hi thi har khushi
ab tum nahi tou kuch nahi
baatein saari reh gayein
kuch unsuni kuch unkahi
kehtay hain ab khud se hi
thay hum ghalat bas tum sahi
ghar sajaaye aaj bhi ye
raahein tumko dhoondtein
ik dil kahay ke rok loun
phir dil hi mujhko rok le
kya din haseen kya raat hai
jo aas mein teri dhalay
par ab bhi
shaamein bulaayein tumhe
saavan ye rattiyaan ye kehtay sabhi
kya hi rakhaa hai haan choro ye gham
haaray huey dil kya jeetay kabhi?
haan laut aao ye kya berukhi
sisakta ye dil kehta hai ab bhi
kya hi rakha hai haan choro ye gham
haaray huay dil bhi jeetain kabhi
par ab bhi shaamein bulaayein tumhe
saavan ye rattiyaan ye kehtay sabhi
haan laut aao ye kya berukhi
sisakta ye dil kehta hai ab bhi