Skip to content

Na Pata Mujhe

ABS & PATHAK
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Na pata mujhe, dhoondun har gali mein, har thikaane usko Vo aati jaati hai khayalon mein jagane mujhko Na bharte paane mein likhun kuch bhi jab baare uske Bas jalte zakhm jab likhun main uske baare kuch toh Haan, dhoonda shehron mein, chehron mein, har thikaane usko Kya mujhko aaj bhi pehchaanegi? Kya yaad usko? Sawaal poochne ko aaya toh kitaab likh doon Jawab dene ka samay na ho toh baat sun toh Haan, tere jaane ke baad hai mera haal kaisa? Chubhan hai dil mein, maan hai bhaari aur udaas chehra Mere baagiche mein khile bahut se gul kasam se Par tere naam par baagicha, tu kamal aisa Toh hai khila ya ab kisi ne hai ukhad pheka? Vo jugnu si thi, jagmagati, uska haal kaisa? Sawaal poochne ko aaya toh kitaab likh doon Chhodo jaane do, ab janaaze par jawaab dena Haan, tujhko chaand kahun, chamakti be-misaal hai Par tujhko chaand kyun kahun, lage toh usme daag hai Main tujhko phool sa kahun, sugandh kya be-misaal hai Par tujhko phool kyun kahun, murjaata vo bhi baad mein Main tujhko kuch bhi kahun, toh ye kalam mein daag hai Main tujhko Rab ka darja doon, toh ye khuda naaraaz hai Tujhko sabr se padha, pasandita kitaab hai Toh sach mein hai bhi, ki kahin pahaadon ke us paar hai? Toh Laila Majnu wali laila, aur main intezaar mein Kabhi kabhi main sochun, chhod doon be-wafa maan ke Kyun teri aas mein tabah karun main khud ko pyaar mein? Mere dil ko na kadar, vo hai tabah, toh jaan le Hai usko khud bhi na pata, toh hai kahaan, bas aas mein Aur main kalam se uski baat likh raha kitaab mein Kabhi main dikhna band hua, toh haan pahaadon paar mein Wahi kabar hai meri, Majnu tere intezaar mein Farishte aakar tere baare mein bata gaye hain Main kara waqt zaya apna, vo jata gaye hain Toh uski hai talaash, kar raha vo, paa chuki kisi ko Apne ghar pe kisi aur ko basa chuki hai Vo khush ab sang kisi ke, uske na khayalon mein hai tu Phir mujhko kyun khayalon, sapno mein sata rahi hai? Mere mann mein kuch sawaal phir se aa chuke hain Ye mujhko jeene bhi na dete, mujhko khaa rahe hain Kya uske ghar pe hai pata? Kya uski maa ko bhi pasand vo? Uske maathe ko vo choome, ya vo noche sirf jism kyun? Usne poocha kya pasand, kis rang ka phool ya sugandh kya? Uski galti par bhi maafi maange, bhale na ho galat vo Uski aankhon se vo darta, phir bhi aankhein hai pasand kyun? Uski khushi ki wajah ya uski galti ka sabak vo? Kitne sawaal mann mein, kitne kar diye dafan ab? Kyunki marr chuka hai dil, na hai pata phir kyun pasand tu?