Skip to content

Sehna

JANI feat. superdupersultan
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Kaisa sukoo'n hai? Har paasey tu hai Ata nahe hai mujhkou sehna (kyun?) Bhardou iss dil kay khaakey Bolo badley mai kiya dein? Muhabbat kam parey tou kehna (Yeah Yeah) Likh daaley Qaseedey kahin tum parhti nahe Nazuk woh haalat-e-dil, aur bigarti rahi Shikayatein laabou pey ati rahi Sudharney ki toufeeq kahan thi abhi? Aik shaam jab aogey giley ginwaogey Kehdunga mujhey tum yaad he nahe Inteha hui bas abb Har zulm phele sey barh kar Tham gaye hain woh aatey aatey jou jaan detey thay kal tak Atey hain terey qadmou mai Kitney mujh jaisey har shab he Nayaab hain ujaley barsou sey Yeh saari roonaqein tujh sey thein Taasuraat lagey aaj Be-qabu hain gham kay saaz Kiya kuch karwa gayi hai "Mouseeqi" (Mouseeqi) Woh aik lamha, aik khayal, lagta hai abb aik aik saal Aajiz agaye hain khud sey he (khud sey he) Aajiz agaye sehtеy sehtey Har ada kay agay behkay Sirf kheriyat poochein woh Dil laga gaye bethey bethey Kiya ab dil bech aaein bolou? Ya ghanimat samjhein dono Baarish ki tarah hou tum bhi mann bhela detey hou choro Hansna tak bhool chukey hain hum Yeh chehrey udaas he sahi hain Itni shid'dat sey tootey hain kay jur jayein waapis sawal he nahe hai Neend tou bas aik bahana tha Tujh sey rihayi ka dard-e-tanhayi ka Warna Kasam Khuda ki In aankhou mai bacha koi khuwaab he nahe hai Atey hain terey qadmou mai Kitney mujh jaisey har shab he Nayaab hain ujaley barsou sey Yeh saari roonaqein tujh sey thein Taasuraat lagey aaj Be-qabu hain gham kay saaz Kiya kuch karwa gayi hai "Mouseeqi" (Mouseeqi) Woh aik lamha, aik khayal, lagta hai abb aik aik saal Aajiz agaye hain khud sey he (khud sey he)