Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Chai Biskoot
SlowCheeta
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Baar vaar chhod aaj baat vaat karte hain
Pehle kabhi kiya nahi toh aaj start karte hain
Galalti hui toh hum maaf vaaf karte hain
Par woh galati nahi jo hum baar baar karte hain
Garam nahi pachta toh mat daal khaana tave pe
Aur agar main nahi jachta toh mat daal mujhe dabbe main
Anaaj ka kaam hai bhook mitaana aur Samaajh ka kaam hai
Jhoot sikhaana!
Hataa na
Log Mere se poochte rehte hain bhai tu rapper hai ya actor hai?
Main bola main tractor hai, raaste main jo aayega kuchal doonga
Moo pe jo aaye ugal doonga
Sultanat bana raha is game ko shayad pichle janam main
Mughal hounga
Main ye bhi hai aur woh bhi hai
Har yes main high, low main no bhi hai
Matlab plane main kabhi caviar toh plate main kabhi gobi hai
Par jo bhi hai
Apun set hai be!
Khayaal leta udhaar shabdon ka jiska aaj bhi apne sar pe debt hai be
Jet hai be,
Life apna tabhi ladka itna fly, itna try karta rehta poocho
Kabhi why?
Because jeet haar ke beech main bees bar yeh reh chuka
Aur Tees Paar ye ladka umeed har ke beh chuka THA
Par tha aur hai main fark hai
Mere hai main swarg aur tha main narak hai
Ladka biscuit aur zindagi Chai
Matlab garam hai, bahar hum kadak ghusse toh naram hai
Hum Zor lagaate lagaate kathor ho jaate hain
Aur kam zor lagaane waale kamzor kehlaate hain
Par josh aur junoon toh lah-mehdood hai hum main
Udte patang kat bhi jaaye toh haath main dor reh jaate hain
Ruk be, baat abhi baaki hai
Zindagi taala toh pyaar apni chaabhi hai
Bade dil waala tabhi chaudi meri chaati hai
Kabhi khol ke dekh wahaan baithi teri bhabhi hai
Dost bhi hain, parivaar bhi hai
Un sab se khush par khud se naraazgi hai
Kabhi bayaan na kar paaya inki qeemat inse
Lavz kam pad gaye
Mauke toh khoob di zindagi ne par shayad ...hum kam pad gaye
Khushi har pal main thi - hum halaaton main kho gaye
Ishq toh sirf ek nazariya hai dost hum baaton main kho gaye
Tujh bin mai hoon begaana
Lavzon ka ye afsana
Do pal tu sun ke jaana
Tu sun le na
Tujh bin mai hoon begaana
Lavzon ka ye afsana
Do pal tu sun ke jaana
Tu sun le na