Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Socha Nahin Achha Bura
Chitra Singh
,
Jagjit Singh
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Socha nahin achchha-bura
Dekha-suna kuch bhi nahin
Socha nahin achchha-bura
Dekha-suna kuch bhi nahin
Maanga Khuda se raat-din
Maanga Khuda se raat-din
Tere siva kuch bhi nahin
Socha nahin achchha-bura
Dekha-suna kuch bhi nahin
Dekha tujhe, socha tujhe
Chaaha tujhe, pooja tujhe
Dekha tujhe, socha tujhe
Chaaha tujhe, pooja tujhe
Meri khata, meri wafa
Teri khata kuch bhi nahin
Maanga Khuda se raat-din
Tere siva kuch bhi nahin
Socha nahin achchha-bura
Dekha-suna kuch bhi nahin
Jis par hamari aankh ne
Moti bichhaaye raat-bhar
Jis par hamari aankh ne
Moti bichhaaye raat-bhar
Bheja wahi kaagaz usey
Humne likha kuch bhi nahin
Maanga Khuda se raat-din
Tere siva kuch bhi nahin
Socha nahin achchha-bura
Dekha-suna kuch bhi nahin
Ek shaam ki dehleez par
Baithe rahe woh der tak
Ek shaam ki dehleez par
Baithe rahe woh der tak
Aankhon se ki baatein bahut
Munh se kaha kuch bhi nahin
Maanga Khuda se raat-din
Tere siva kuch bhi nahin
Socha nahin achchha-bura
Dekha-suna kuch bhi nahin