Skip to content

Woh Firaaq Aur Woh Visal Kahan

Popularity ยท Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

woh firaaq aur woh wisaal kahaan? woh firaaq aur woh wisaal kahaan? woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaan? thee woh ik shaqhs ke tasavvur se thee woh ik shaqhs ke tasavvur se ab woh raunaai-ye-Khayaal kahaan? woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaan? aiysa aasaan naheen lahoou ronaa aiysa aasaan naheen lahoou ronaa dil mein taaqat jigar mein haal kahaan? dil mein taaqat jigar mein haal kahaan? woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaan? fikr-e-duniyaan mein sar khapaata hoon main kahaan aur ye wabaal kahaan? woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaan? woh firaaq aur woh wisaal kahaan? woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaan?