Skip to content

Ye Dil Tum Bin Lagta Nahin

Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi, Laxmikant–Pyarelal
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Yeh dil tum bin kahin lagta nahin Hum kya karein Yeh dil tum bin kahin lagta nahin Hum kya karein Tasavvur mein koi basta nahin Hum kya karein Tumhi keh do ab aye jaan-e-wafa Hum kya karein Lute dil mein diya jalta nahin Hum kya karein Tumhi keh do ab aye jaane-adaa Hum kya karein Yeh dil tum bin kahin lagta nahin Hum kya karein Kisi ke dil mein bas ke Dil ko tadpana nahin achchha Kisi ke dil mein bas ke Dil ko tadpana nahin achchha Nigahon ko jhalak de de ke Chhup jana nahin achchha Ummeedon ke khile gulshan ko Jhulsana nahin achchha Hamein tum bin koi janchta nahin Hum kya karein Tumhi keh do ab aye jaane-adaa Hum kya karein Lute dil mein diya jalta nahin Hum kya karein Mohabbat kar to lein lekin Mohabbat raas aaye bhi Mohabbat kar to lein lekin Mohabbat raas aaye bhi Dilon ko bojh lagte hain Kabhi zulfon ke saaye bhi Hazaaron gham hain is duniya mein Apne bhi paraaye bhi Mohabbat hi ka gham tanha nahin Hum kya karein Tumhi keh do ab aye jaan-e-adaa Hum kya karein Yeh dil tum bin kahin lagta nahin Hum kya karein Bujha do aag dil ki Ya ise khul kar hawa de do Bujha do aag dil ki Ya ise khul kar hawa de do Jo iska mol de paaye Use apni wafa de do Tumhare dil mein kya hai bas Hamein itna pata de do Ke ab tanha safar kat-ta nahin Hum kya karein Lute dil mein diya jalta nahin Hum kya karein Yeh dil tum bin kahin lagta nahin Hum kya karein