Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aghasur
Shailendra Bharti
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Priye dosto
Yadi koi aapke praan lene par aatur hai
Ya koi aapko jaan se maar dena chahta hai
To kewal ek hi upaaye bachta hai
Pehla, ki ya to aap usko maar dein
Aur ya phir wo aapko maarne mein safal ho jaaye
Jo aapko maarna chahta hai aur aap usse yadi samjhana chahte hain
To ye aapki nasamjhi hoti
Raakshas pravritti ke log, raakshas ki soch rakhne waale log
Inhein sudharna ya samjhana vaise sambhav hi nahi hota
Inn baaton ko hum aaj ke paripeksh se bhi dekh sakte hain
Ya ye samjhiye ki hazaron saal pehle ki kathaon se bhi agar jaanna chahte hain to jaan sakte hai
Aaj bhi kuch aise log hain jo duniya mein har kisika vadh karke apni manmaani karna chahte hain
Aur hazaron saal pehle bhi aise hi daitye, asur aur raakshas hote the
Jo apni dhurtata dikhaane se baaz nahi aate the
Main Shailendra Bharti
Vishu puraan ki aisi katha sunane ja raha hu
Jahaan par aapko aisi hi baato'n ka gyaan milega
To ye baat hai Aghasur naam ke raakshas ki
Bhaagwat puraan mein issi Aghasur ko Pootna aur Bakasur ka chhota bhai bataya gaya hai
Kans, Krishna ji ko maarne ke naye-naye upaaye sochta hi rehta tha
Kuch samay pehle usne Bakasur naam ke raakshas ko bheja tha
Jo ek bakk yaani ke bagule ke roop mein Krishna ko maarne aaya tha
Prantu apni mrityu ko praapt hua
Krishna ne uspar koi daya nahi dikhayi thi
Khair, Bakasur ke baad Kans apne ek aur mayavi raakshas ko
Krishna ki hatya ka kaam saunpta hai
Iss raakshas ka naam tha Aghasur, dekhne mein ekdum bhayanak
Mayavi tha aur vesh badalne mein nipun tha
Saath mein shurveer bhi tha
Aghasur par hi aasha laga karke, Kans ne usse Mathura se Brij ko bheja tha
Dopahar ka samay tha, gaayein char rahi thi
Aur gwaal baal idhar-udhar ghoom kar samay bita rahe the
Krishna bhi wahi the, wo bhi uss samay baalak hi the
Krishna gaayon ko dhyaan se dekh rahe the ke wo kaise magan hokar char rahi hain
Tabhi achaanak, jab unhonein dekha to unhein apne gwaal baal dikhai nahi diye
Dosto, aisa kai baar hota tha
Par har baar gwaal baal thoda bohot dhoondne ke baad mil jaaya karte the
Iss baar bhi Krishna ne unhein dhoondna shuru kiya
Bohot samay beet gaya par kisi bhi sakha
Kisi bhi gwaal baal ka koi pata nahi chala
Tab Krishna ko chinta hone lagi
Krishna dhoondte hue apne mitron ko zor-zor se pukaar bhi rahe the
Prantu kahi se koi ittar hi nahi mila, koi sanket bhi nahi
Sabki gaiya to aaspaas char rahi thi
Par kisi bhi baalak ka koi naam-o-nishaan nahi tha
Chinta badhne lagi, Krishna chaaro aur dhoondte rahe
Jab ve ek sthaan par pahaunche to unhein tab kuch vichitra dikha
Ek bohot hi bada ajgar dharti par pade hua zor-zor se saansein le raha tha
Jaise hi iss ajgar ne Krishna ko dekha
To usne apne saans kene ki gatti ko aur tez kar diya
Pehle to Krishna ko kuch samajh nahi aaya
Phir unhone apne ko ajgar ki aur khinchta hua paaya
Hua ye tha ki ye ajgar aur koi nahi
Kans ke dwaara bheja hua raakshas Aghasur tha
Jis gatti se wo saansein le raha tha wo asaadharan thi
Uski saanson ki issi gatti ko baal gwaal sehen nahi kar paaye the
Aur apne aap hi khinchte hue uske pet mein chale gaye
Jaise hi Aghasur ne Krishna ko dekha
To usne phir se apni saanson ki gatti ko badha diya
Aur Krishna ko bhi apne pet mein kheenchne ka prayaas karne laga
Prantu Aghasur se bas ek chhoti si galti ho gayi thi
Ki Krishna, jo ki poore brahamand ko apni aur kheenchne ki shakti rakhte the
Ha-ha, unko wo kheench raha tha
Waise ye baath bhi hai ke aisa inn raakshason, Kans ko pata hota
To ve Krishna ko maarne ka prayaas hi kyun karte
Kans apne aap ko sabse zyada shaktishaali samajhta tha
Aur issi liye wo Krishna ka vadh karna chahta tha
Jaise hi Krishna ne Aghasur ki saanson ko anubhav kiya
Wo sab kuch samajh gaye
Unhein pata chal gaya tha ki unhein baal gwaal kyun nahi mil rahe the
Aue wo sab kahaan gaye hai
Aghasur ne apni saanson ki gatti ko aur bal diya
Par Krishna ne uska virodh nahi kiya
Wo jaan bhoojhkar ke khinchte hue uske mukh ke paas pahauch gaye
Aghasur ko laga, ke aaj uske raja Kans ka kaam ho gaya
Par Aghasur ke mukh ke paas aate hi Krishna thithak ke ruk gaye
Krishna muh ke andar nahi gaye
Balki unhone Aghasur ke dono jabdo'n ko apne haathon se pakad liya
Saansein to chal rahi thi
Saansein Krishna ko andar kheenchne ke prayaas mein thi
Par vifal ho rahi thi, muh khula ka khula tha
Aghasur ko samajh mein nahi aa raha tha ke wo kya kare
Krishna ko pata tha ke unhein kya karna hai
Krishna ne apne haathon ko bal dena shuru kiya
Aur kuch hi samy mein, jabdo'n ko upar-neeche kheenchte hue
Do bhaago mein faad diya
Aghasur ke praan nikal chuke the
Par baal gwaal to abhi bhi pet mein hi the
Tab Krishna, Aghasur ke fate hue muh mein pravesh kar gaye
Pet ke andar pahaunch kar unhonein apne shareer ko bada karna shuru kar diya
Bada karte gaye, karte gaye, jabtak Aghasur ka pet fant nahi gaya
Pet ke fante hi saare baal gwaal sakushal baahar nikal aaye
Krishna par dosto, aakraman hota rehta tha
Aur aakramankaari mrityu ko praapt ho jaate
Aur aisa kai baar hua
Kabhi Krishna ne aise dushton par daya ya moh nahi dikhai
Wo jaante the ki dushto par daya ya moh dikhana
Apne aap ko hi nasht karne ke jaisa hai
To priye mitro, isse humein seekh kya milti hai?
Seekh yahi milti hai ki jab aapko samajh mein aa jaaye
Ki koi raakshas pravati ka hai
To uspar bhool ke bhi daya drishti na rakhein
Isse aap keval apne aap ko hi haani pahaunchayenge
Aise loho ke baare mein aur logo ko bhi batayein
Taaki wo bhi apne aap ko bacha sakein
Aur aapka aisa karna dharam ka kaam hoga
To dosto, aasha karta hu
Ke aaj ki kahani se aap apne dharm ka paalan avashye karenge
Main mitra Shailendra Bharti ko aagya dijiye
Dhanyewaad