Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Yeh Mera Karachi
MeemAlif
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Haan Ji
This ones for
Karachi
Bus bhae, ab sunna main jo bolun
O Nangay farsh pe chadar bichha k main solun
Aray Bars likhnay se pehle achi tarhan tolun
Moka nahi dena k main phir apni zip kholun
Abay bag ki, uss main rakha camera
Jo tasweer li, (khichik) uss ko taang hathora
Lekar aa, keel thok, (thak) dewar pe bhy laga
Jo leker bhagay vote woh kabhi nahi saga
Umair beat baja, bhy karachi wastay(yay)
Rappers ho ya kachra dono apne raastay(yay)
Agar Pakistan hai dada to Karachi baap hai(jo baat hai)
Sab se zyada hai kamata tabhi tou khaas hai(sai baat hai)
Ice cream ho ya team karachi number one(han ji)
On rehta apna scene, we are never done(yes)
We don't have to say we are already above(woo)
Meet MeemAlif Khan from Karachi with love, aanh
Karachi Karachi yeh mera Karachi
Sindhi Baloch Pakhtoon o Punjabi
Muhajiron ki jaan yahan rehte siraiki
Yeh mini Pakistan yeh shehar vip
Karachi Karachi yeh mera Karachi
Sindhi Baloch Pakhtoon o Punjabi
Muhajiron ki jaan yahan rehte siraiki
Yeh mini Pakistan yeh shehar vip
Main apne watan ka sab se honehaar beta
Main sahil e samandar k paas main hoon bhy rehta
Main kisi zamanay main tha darul khilafa
Main apni mama se bhi hoon zyada ka poorana
Bura Sulook karachi k sath kam nahi(na ker)
Intezamia is shehar ki hum nahi(ese kese)
Bharpoor yahan pe Karachi se kamaya jata
Per ussay bhi kamm karachi pe lagaya jata
Yahan ki asli batain apse hain chhupai jatien(but why)
Yahan rehtay kitne log apko kam bataya jata(kiyoon)
Peenay ka pani saaf yahan pe na muyassar
Peenay ka pani R O plant se hai laya jata
Safai hai nifs emaan humko hai parhaya jata(sahi)
Shehar kachray ka dhair waqt pe na uthaya jata(sahi)
Laita zyada kiraya aj kal W-11 wala(waqai)
Insaaf milta nahi ulta humko hai sikhaya jata
Ik dafa ka zikar tha karachi aatay saiyyah
Sadkain ab khudi pari puncture har paiyyah
Hum nahi ruktay paar kertay hum naiyyah
Hum nahi jhuktay or zoro se kehtay bhaiyya
Karachi Karachi yeh mera Karachi
Sindhi Baloch Pakhtoon o Punjabi
Muhajiron ki jaan yahan rehte siraiki
Yeh mini Pakistan yeh shehar vip
Karachi Karachi yeh mera Karachi
Sindhi Baloch Pakhtoon o Punjabi
Muhajiron ki jaan yahan rehte siraiki
Yeh mini Pakistan yeh shehar vip