Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Bheega Hua Aanchal
Kumar, Kishore
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Bhiige hue aanchal mein sameto naa badan ko
Saavan mein kaheen aag naa lagaa jae chaman ko
Saavan mein kaheen aag naa lagaa jae chaman ko
Ye husn, ye shabnam, ye bahaaren, ye javanee
Hey, ye husn, ye shabnam, ye bahaaren, ye javanee
Bahata hua dekha hai yaheen aag pe paani
Hey-hey, le jaaoon main aise mein kahaan dil kee jalan ko?
Saavan mein kaheen aag naa lagaa jae chaman ko
Saavan mein kaheen aag naa lagaa jae chaman ko
Ye mad-bhari tanhai, ye tanhai ka jaadoo
Hey, ye mad-bhari tanhai, ye tanhai ka jaadoo
Aise mein bhalaa kaise ho jazbaat pe qaabu?
Hey-hey, rangeen bana lo isi pal-bhar ke milan ko
Saavan mein kaheen aag naa lagaa jae chaman ko
Saavan mein kaheen aag naa lagaa jae chaman ko