Humble Poet 2.0
Bella
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
[Intro]
Inhe lagta hai mere gaane thode cringe hai
Inhe shayad mera sound samjh mein nahi aata
But woh zyada matter nahi karta mere liye
Main jo likhta hu apne dil se likhta hu apne logo ke liye likhta hu
Ye sangeet tumhare liye
We all are one
[Verse 1]
Inhe lagta hai Bella toh badnaam ho gaya
Hose chuna use maarana aasaan ho gaya
Meri janta ko kaise roku ghar pe aane se
Meri gaadi jaha khadi waha jaam ho gaya
Mujhe nashte mein mile aaj lakh duaein
Mujhse upar baithe log mera naam dabaen
Jaha Bella subah shaam bas sangeet banaye
Main karu mehnat pe yakeen ye naseeb chalaaye
Chahe sunu laakhon artist par tum banana chahte kuch nahi
Kyuki tere seene mein woh fire nahi hai
Inhe ache gaane chaiye magar layak nahi hai
Kyuki tumme mere jaisi koi desire nahi hai
Dekh mere neeche koi designer nahi hai
Bella khud jeete jung uske fighter nahi hai
Mera seena cheer dekh ke main kayar nahi hai
Yaha sab money mind koi admirer nahi hai
When I feel alone mere fans ko main call karu
Unhe pata hai ke main wahi aadmi hu na
Jo main kal tha wahi main aaj bhi hu na
Mujhe mere logo ne hai raakh se buna
Kaise meri jeet tak umaan na karu
Jo main hawa ban gaya hu kyun toofaan na banu
Pyaar tera jaani main ehsaan na karu
Cheeze saamne ho phir bhi tumhe jaanna nahi kyun
Aye likhu gaane jaise chinu gham
Koi abhi mere ghamo ko chura lo
Lage hath mein jo zinda raha na toh mera yeh paigam meri maa ko pahucha do
Bhale tumhe gaane lage cringe
I don't give a fuck jaani whatever you think
Teri choti soch kisi ki bhi success dekh hi nahi paari
Teri aakhein money chicks dono chase karna chaah rahi
Hai yaha bohot shor na mera gala khot
Par kaise rok payega tu meri kala ko
Jo gunehgar unhe saza do
Haan jo mujhe chahiye woh jagah do
Jaana waqt hai tum khud ko jaga nahi paare
Inhe neend tootne pe sapne yaad nahi aate
Yahi wajah hai ke tum mujhe jaan nahi paare
Par mere fans mujhe jaanne mein jaan laga rahe
Main fasa kabhi na kisi ki baahon mein ya ruka
Ye career rap bolu baatein na bana
Main likhu dil se aayi hui fiza
Karu main dil ke liye har ek gunah
You don't deserve mera sound
Aakhein numb pair chuna chale mera crowd
Yaha koi sach bole inhe lage chase kare clout
Main bhi siddhi hu jaani mera bass baje loud
When I scream meri gang mere saath hoti hai
Main karu walk peeche homie log ki car hoti hai
Mere gaano se awaam zimmedaar ho rahi hai
Mere saath khade hone ko taiyaar ho rahi hai
Kyuki chale mera ghar inki taaliyon se bro
Kaise aage leke jayega na kabhi ye naseeb
Mujhe rok nahi sakta khud main jeene se sangeet
Hai yakeen mujhpe puri duniya karegi believe
Na hi rap meri khoobi hai na gaana meri khoobi
Na hi studio mein dikhu ab main studios se dukhi
Na hi duniya hai doshi na main duniya ka doshi
Magar mere jazbaat yaha samajhta nahi koi
[Outro]
Galtiyan inki hai par naam humaare hain ji
Karo mujhe judge tum
Abhi karo mujhe judge tum
Inko main kya bolu yaha sabne charh daale hain ji
Karo mujhe judge tum
Abhi karo mujhe judge tum