Skip to content

Har Kisi Ko (Female)

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Do lafz kee hai, baath ek hee hai Kyun darmiyaan phir rukii-rukii? Kah bhee naa paaen, rah bhee naa paaen Kyun bewajah hai ye bebasii? Tum mein hum hain, hum mein tum ho Tum se hum hain, hum se tum ho Qismaton se milte hain do dil yahaan Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein Kushnaseeb hain hum, jinko hai milee ye bahaar zindagi mein Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein Pyaar naa ho to zindagi kya he Yaar naa ho to bandagi kya hai Pyaar naa ho to zindagi kya hai? Yaar naa ho to bandagi kya hai Tujh se hee har kushi hai Tere dam se aashiqui hai, jaan le Mil jaaen hum to (mil jaaen hum to) Saba kuch sahee hai (saba kuch sahee hai) Phir is tarah kyun (phir is tarah kyun) Hain ajanabi? (hain ajanabi?) Tum mein hum hain, hum mein tum ho Tum se hum hain, hum se tum ho Qismaton se milte hain do dil yahaan Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein (haan, kisi ko hee hai milata ye zindagi mein) (kushnaseeb hain, jo hamein milaa zindagi mein) (haan, kisi ko hee hai milata ye zindagi mein) (kushnaseeb hain, jo hamein milaa zindagi mein) Tu mohabbat he ishq he meraa Ik ibaadat hai saath ye tera Tu mohabbat he ishq he meraa Ik ibaadat hai saath ye tera Jab dil se dil milee hain Phir kyun ye faasle hain is tarah? Aa, bol de too (aa, bol de too) Ya bol doon main? (ya bol doon main?) Kab tak chhupaayen (kab tak chhupaayen) Ye bekudi (ye bekudi) Tum mein hum hain, hum mein tum ho Tum se hum hain, hum se tum ho Qismaton se milte hain do dil yahaan, haan Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein Kushnaseeb hain hum, jinko hai milee ye bahaar zindagi mein Har kisi ko nahin milata yahaan pyaar zindagi mein Too hai to main hoon too hai to main- Too hai to main hoon too hai to main-