Kayanaat
Gourav Ahuja
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Uljhan me hai
Ye dil mera
Kisi bhari soch me to hai
Dooba haan dooba
Din me hi
Sapne dekh raha
Kehta wo koi
Sapne se kam hai kya
Kuch to alag hai is hawa me
Kya ye din mera ban raha hai
Bhaga firta tha jiske liye mai
Wo to peeche hi mere khada hai
Najane ye kya hone laga hai
Kya wo paas mere aa rahi hai
Jaana chahta door usse ab nahi
Or ye kayanaat bhi hume hai mila rahi
Kho gaya hu
Kya hi batau
Kho gaya hu
Kya hi batau
Ye teri awaz hai jispar
Fida mai hota jaa raha hu
Ye teri aankhein
Or ye teri baatein
Meri muskurahato ka karan
Or tu jeene ki wajah ban rahi
Maine tere hawale kar diya hai
Jo bhi mera hai
Sab kuch abhi se
Jaana chahta door tujhse kabhi nahi
Or ye kayanaat bhi hume hai mila chuki
Or ye kayanaat bhi hume hai mila chuki