Skip to content

Yours truly

Subhan Mallah, Sonny$
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Suno khat zindagani ka hai likha mene Kese beeti kia bitai kia kuch seekha mene Kese tordiye dunia se ye naate saarey Kitna hara kitna gira kia kuch jeeta mene Dekhunga khuwaab jisdin murda na ho dil kabhi Dekhe din buray ye pal buray tere bin sabhi Ay abr phir sharaab phir suroor Phir hua ye inqshaaf ke na mil sakenge phir kabhi Kia thay wo bhi pucho kia thi haalat meri Jaun jesa haal Faiz jesi shaamein meri Dil murda mera marke na hua zinda Wapas aati kese jeene ki tamanna meri Tang is dil se is dunai se zamane se hun Dil ye murda tha badan zinda rehta kese Tang is mann se is marz se ab aap se hun Meri rooh bhi phir nikli aakhir sehti kese Mere safar is dunia mai tou bura he tha Suno baatien ab ye tha idhr tou suna nai tha Acha beta acha dost phir bhi bura he tha Sabko ache lagte sab bs mujhse ghila he tha Dunia waja safar pohoncha jald anjaam ko Jis din maroge milenge us din shaam ko Mehfil sajayenge cherenge usi baat ko Aur phir rakhenge gawah isi sharaab ko Gawah rakhenge hum phir isi sharaab ko Sun na mat sabaq lena is azaab ko Suna tha kabhi ke phool khilte raakh mai bhi Udaas hona na jalke banjao tum raakh jo Jeene ka umr bhar hosla tha bara mera Magar hosle se bara mera gham tha thera Alag maanta tha khudko mai in logon se he Tou rehke beech inke kia he aakhir banta mera Qabar sajao ispe aake sab jawaab do Qala ka meri uraya tha mazaak jo Maa ko kehna ab shayad mai sukoon mai hun Aapki dua har pal rehti mere sath jo Doston yaaron ko bhi kehna phir milenge kabhi Kisi roz saath bethke na uthenge kabhi Waade jitne mere ab bhi hein adhure rehte Jis din mila usdin puray mai karunga sabhi Ab gumaan ko bhi mere is lagaam para Qala se meri mene kia he apna naam kara? Mara akhir jab mai wo bhi yun gum-naam mara Qarz ada kara leke apni jaan kara Dil utha sabse chala chor chaar kar Uthai load ki aur rakhi sur pe taan kar Mat kar chorde bheek maangi hath bandh kar Goli chali aankhein band safar anjaam par