Skip to content

O Meri Premika

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Raj mandir cinema ke piche Chote bargad ki thooth ke niche Ek mouchi baitha tha Tarpaal kasaaya karke Jo bhi aata usse bolta Woh bhaya bhaya karke Hua akela jo pal bhar toh Uska chehra utar gaya tha Sangharsh bhara woh chehra Man mein ghar kar gaya tha Uss chehre ko likhne mein hi Meri umar beet gayi jana Main tere chehre ka pehla Deedar nahin likh paya Mujhe maaf karna o meri premika Mujhe tujhse hai kitna pyaar nahin likh paya Ek bade aadmi ne karliya Ek garib ke khet mein kabza Aur kaha yeh khet hai mera Tu ladle yaa dabb jaa Uski laane akal thikaane Woh kisaan gaya fir thaane Thanedaar ne kaha laa paise Fir uparwaala jaane Jaldi hi samajh gaya banda Aise hi chalta desh hai Bhai jiske haath mein laathi Uski hi hoti bhaish hai Ab bambai sheher mein aa kar Woh chala raha hai rikshaw Aur soch raha baccho ko Dilwaoon yaa nahin sikhsha Wahan bada aadmi afsar ko Farm house pe bula raha hai Aur afsar apne peg mein Aur ice dala raha hai Unki tondh ki golayi likhne mein Meri umar beet gayi jaana Main teri kitni hai patli Kamar nahin likh paaya Mujhe maaf karna o meri premika Main tere sath kiya saara safar nahin likh paya Thi padosh mein budhi daadi Chahti thi dekhna shaadi Apne pote ki marne se pehle Koi panga bhi nahin tha Bas pote ki umar thi gyaraah Budhiya ko bhi dikhta nahin tha Usne ghar utha liya saara Apni manwa ke chori Chaar baras beet gaye baat ko Abhi zinda hai buddhi ghodi Vaise toh woh khush hai Bas ek hai akhiri iccha Pote ke aangan mein Chahti hai dekhna baccha Uske swarth ko likhne mein hi Meri umar beet gayi jaana Main tera sabse yeh nischal Vyawahar nahin likh paya Mujhe maaf karna o meri premika Mujhe tujhse hai kitna pyaar nahin likh paya