Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Makaan
Farhan Khan
,
Deetocx
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Aaj bhi main hoon yahi khada
Magar tu kyun nahi yahan?
Andar se lage hoon lapata
Bharam sa lagta hai yeh jahaan
Tera pyaar hi tha mera makaan
Toh kiski nazar lagi, bata?
Dil badnaseeb tha toh
Tera zindagi mein aana lage jaise koi karishma
Yeh dil ameer tha tere pyaar mein
Jo milega nahi kahin agar chaho khareedna
Tere baare koi pooche toh baatein ghuma du
Ki yaadein nahi aaye, dil rakhta gumraah hoon
Par kab tak kahunga main khud se yeh jhooth
Shayad main tere nashe mein hoon choor
Andar hi andar main khud se kahoon
Agar na hota tujhse main roobaroo
Toh pata nahi hota kya mera
Aur shayad hi mujhko mil pata wajood
Aaj bhi main hoon yahi khada
Magar tu kyun nahi yahan?
Andar se lage hoon lapata
Bharam sa lagta hai yeh jahaan
Tera pyaar hi tha mera makaan
Toh kiski nazar lagi, bata?
Chhupa leta jo tujhko main nazron se sabki
Toh karti beghar mujhe aise tu na
Pukaare mera dil tujhe, dil ki toh sun
Dil kahe dil lagta na tere bina
Kitne hi mere sajde taraste hain
Chaukhat ko teri
Aangan mein tere do gaz jo thodi
De do zameen toh
Qabr bana ke
Reh loon sada tere kadmon mein jogi
Tumhe pata hai
Ki GHAR ki inn diwaron mein dararein pad chuki hai
Ab jab bhi badal rota hai toh pura ghar nam ho jata hai
Sharab ki wajah se thoda dard kam ho jata hai
Intezar karta hoon mein
Par har din ke saath thoda sabr kam ho jata hai
Shayad bechain hoon shayad kisi se baat karna chahta hoon
Par sabko batane se ander ka shayad mard kam ho jaata hai
Maine likh diya hai tere bare mein farsh tak pe
Toh vapas kaise khada ho jau
Mera per ladkhadata hai ki tere naam ke
Ek bhi akshar par per na rakhdu
Main darta hoon tumhe samjhane mein kahi der na kardu
Aaj bhi main hoon yahi khada
Magar tu kyun nahi yahan?
Andar se lage hoon lapata
Bharam sa lagta hai yeh jahaan
Tera pyaar hi tha mera makaan
Toh kiski nazar lagi, bata?