Aye Haquai / Quate Muntazar
Popularity ยท Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz mein
Ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein
Na bacha-bacha ke tu rakh ise, tera aaeena hai vo aaeena
Ke shikasta ho to azeeztar hai nigaah-e-aaiinaasaaz mein
Na vo ishq mein raheen garmiyaan, na vo husn mein raheen shokiyaan
Na vo gazanavi mein tadap rahi
Na vo kham hai zulf-e-aayaaz mein
Main jo sar-ba-sajada kabhi huaa, to zameen se aane lagi sada
Tera dil to hai sanam aashanaa, tujhe kya milega namaaz mein
Kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar a libaas-e-majaaz mein
Ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein