Skip to content

Do Ghadi Woh Paas Jo Baithe (From "Gateway of India")

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

M:: do ghadi woh jo paas aa baithe (2) F:: hum zamaane se door ja baithe (2) Both:: do ghadi woh jo paas aa baithe M:: (bhool ki un ka hum-naseen ho ke Royenge dil ko umra-bhar kho ke) (2) Haaye kya cheez thi loota baithe Both:: do ghadi woh jo paas aa baithe F:: (dil ko ek din zaroor jaana tha Wahin pahooncha jahaan thikaana tha) (2) Dil wohi dil jo dil mein jaa baithe Both:: do ghadi woh jo paas aa baithe M:: (ek dil hi tha gham-gusaar apnaa Meherbaan khaas raazdaar apnaa) (2) Gair ka kyon use banaa baithe Both:: do ghadi woh jo paas aa baithe F:: (gair bhi to koyi haseen hogaa Dil yoon hi de diyaa nahin hogaa) (2) Dekh kar kuchh to chot khaa baithe Both:: do ghadi woh jo paas aa baithe Hum zamaane se door ja baithe Do ghadi woh jo paas aa baithe