Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Laila Majnu Do Badan Ek Jaan The
Rajkumar Rizvi
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Laila-Majnu do badan ek jaan the, ek jaan the
Jazba-e-ishq-o-wafa ki shaan the
Jazba-e-ishq-o-wafa ki shaan the
Jazba-e-ishq-o-wafa ki shaan the (shaan the)
Laila-Majnu do badan ek jaan the, ek jaan the
Ye zameen par aasmani raaz the (raaz the)
Gard ki goonji hui aawaaz the (aawaaz the)
Har jawaan dil mein dhadakte hain (dhadakte hain ye naam)
Shamma ban-bankar bhadakte hain (bhadakte hain ye naam)
Saath in donon ka marne par bhi hai
Saikdon sadiyan guzarne par bhi hai
Saikdon sadiyan guzarne par, guzarne par bhi hai
Laila-Majnu do badan ek jaan the, ek jaan the
Do kabeele Aamri aur Sarbari
Jinmein thi pushton puraani dushmani
Un kabeelon ki thi ye noor-e-nazar
Jinke dil mein kar liya ulfat ne ghar
Aur ye ulfat ibaadat ban gayi
Hukm-e-rakt mansa-e-kudrat ban gayi
Maqsad unka tauba ye ulfat bana, ulfat bana
Jalwa-e-rukh deed ki jannat bana
Jalwa-e-rukh deed ki jannat bana (jannat bana)
Laila-Majnu do badan ek jaan the, ek jaan the
Ek din maktab mein mulla ne kaha
"Sab likho takhti pe naam Allah ka"
Sab ne likha, sirf Majnu hi magar
"Laila-Laila" likh raha tha, bekhabar
"Laila-Laila" likh raha tha, bekhabar
Taish is par aa gaya ustaad ko
Kaise sehta kufr-o-ilhaad ko
Usne Majnu ko saza-e-sakht di
Har saza ki dard Laila par padi
Har saza ki dard Laila par padi
Maulvi tauba ye manzar dekh kar
Aabdeeda ho gaya is bhool par
Pyaar maasumon ka ruswa ho gaya
Ja-ba-ja donon ka charcha ho gaya
Jab suna Laila ke waalid ne ye haal
Sharam aayi aur hua behad malaal
Usne Laila se kaha maktab na jaaye
Ghar ki chokhat se kadam baahar na laaye
Ek din bekaar pehre ho gaye
Laila aur Majnu achaanak kho gaye
Donon sardaaron pe wehshat chha gayi
Myaan se talwaar baahar aa gayi
Par jo guzre ek nahklistan se
Dekhte hi reh gaye hairaan se, hairaan se
Laila-Majnu khel mein masroof the
Laila-Majnu khel mein masroof the
Waalid-e-Majnu ne dekha gaur se
Aur kaha Laila ke waalid se, "Huzoor
Khelne dijiye, inhein kijiye na duur
Khelne dijiye, inhein kijiye na duur"
Taish mein Laila ke waalid ne kaha
"Kal yahi khel ek bada ban jaayega
Baddua hoga gharaanon ke liye
Sharm hoga khaandaano ke liye"
Ye kaha aur khenchkar Laila ka haath
Le gaya is tarah usko apne saath
Le gaya is tarah usko apne saath
Phir na koi dekhne aaya unhein, dekhne aaya unhein
Jaane kis basti mein thehraaya unhein
Jaane kis basti mein thehraaya unhein
Jaane kis basti mein thehraaya unhein