Neele Neele Ambar Par - Female Version
Kalyanji-Anandji
Popularity ยท Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Neele-neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye, humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho, aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele-neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye, humko tarsaaye
Aisa koi saathi ho, aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele-neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye, humko tarsaaye
Ho, oonche-oonche parbat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa-pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Oonche-oonche parbat jab choomte hain ambar ko
Pyaasa-pyaasa ambar jab choomta hai saagar ko
Pyaar se kasne ko, baanhon mein basne ko
Dil mera lalchaaye, koi to aa jaaye
Aisa koi saathi ho, aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele-neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye, humko tarsaaye
Ho, thande-thande jhonke jab baalon ko sehlaaye
Tapti-tapti kirnein jab gaalon ko chhoo jaaye
Thande-thande jhonke jab baalon ko sehlaaye
Tapti-tapti kirnein jab gaalon ko chhoo jaaye
Saanson ki garmi ko, haathon ki narmi ko
Mera man tarsaaye, koi to chhoo jaaye
Aisa koi saathi ho, aisa koi premi ho
Pyaas dil ki bujha jaaye
Neele-neele ambar par chaand jab aaye
Pyaar barsaaye, humko tarsaaye