Skip to content

Departure Lane

Umair, Talha Anjum
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Khushfehmiyan hein Khudse bani hein Kuch kami hai, toh (Kuch kami hai toh) Mein bhi yahan hun Wo bhi yahin hai Kya wo nahi hai jo? (Wo nahi hai jo) Kya wo teri meri be-takal'lufi? Ya wo dunia mein sabse sar-kashi Tu parion si kesi nazneen Ki dil ne zehan ki na suni Khuda ne ye hawayein tere sang krdin Tu wo jo be-rang ko bhi rang krti Tu wo jo mujhe haasil hee nahi Mein karun tujhe kese ye bayaan Meri jaan, Meri jaan, tu na jaa Abhi karz hai tujhpe wo waada Meri jaan mujhe Kya hee pta tha Rang badle ye kese aasmaan Meri jaan, Meri jaan, yun na jaa Badlo na tum apna irada Meri jaan mujhe kya hee pta tha Rang badle ye kese aasmaan Meri saari umar mein tu hee hai kami Baki sab hai maya'sar Tera na aana mujhe maar dega Tanhaiyon mein dil mera rukta hai aksar Bikhra hai dil ka ye daftar Jaunga kidhar tak? Koi nhi ghar par Aadatein nhi choot'tin Roz wahin jahan se shuru Kya, sifar se sifar tak Dunia mile kaam se bas Dunia mere kaam ki nhi Mein suraj sе mukhatib hoke shaam se baitha hun Ye humara pеhla jaam to nahi (Jaam to nahi) Sabar ka imtehaan naa le Tu mere sabar ka inaam to nahi Tu mujhse kuch chhupa bhi le Tu mujhy kuch bata hi nahi Ab teri marzi, mujhpe kuch tu kar ayaan hi nahi Meri jaan, Meri jaan, tu na jaa Abhi karz hai tujhpe wo waada Meri jaan mujhe Kya hee pta tha Rang badle ye kese aasmaan Meri jaan, Meri jaan, yun na jaa Badlo na tum apna irada Meri jaan mujhe kya hee pta tha Rang badle ye kese aasmaan