Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Main Sitaron Ka Tarana Paanch Rupaiya Revival Film - Chalti Ka Naam Gaadi
Kishore Kumar & Asha Bhosle
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Aa-ha, aa-ha
Aa, aa, aa, aa-ha
Main sitaaron ka taraana, main bahaaron ka fasaana
Leke ek angdaai mujhpe daal nazar, ban ja deewana
Main sitaaron ka taraana, main bahaaron ka fasaana
Leke ek angdaai mujhpe daal nazar, ban ja deewana
Ha, ha, ha, ha, hey, hey, hey, hey
Hey-hey, hey-hey, hey-hey, hey-hey
Roop ka tum ho khazaana, tum ho meri jaan ye maana
Lekin pehle dedo mera paanch rupaiya, 12 aana
Paanch rupaiya, 12 aana
Maarega bhaiya, na, na, na, na
Maal-o-zar, bhoolkar dil jigar humse nishaani maango na
Dilruba, kya kaha? Dil, jigar kya hai, jawaani maango na
Tere liye Majnu ban sakta hoon, "Laila-Laila" kar sakta hoon
Chaahe namoona dekh lo, haaye
Khoon-e-dil peene ko aur lakht-e-jigar khaane ko
Khoon-e-dil peene ko aur lakht-e-jigar khaane ko
Ye giza milti hai, Laila, ye giza milti hai, Laila
Tere deewane ko, tere deewane ko
Ho, ho, ho, josh-e-ulfat ka zamaana, laage hai kaisa suhaana
Leke ek angdaai mujhpe daal nazar, ban ja deewana
Maanta hoon hai suhaana, josh-e-ulfat ka zamaana
Lekin pehle dedo mera paanch rupaiya, 12 aana
Paanch rupaiya, 12 aana
Maarega bhaiya, na, na, na, na
Gham bhula, saaj utha, raag mere roop ke tu gaaye ja
Aye, dilrubaye, hoye, dilrubaye, haan, issi andaaz se farmaaye ja
Geet suna sakta hoon dadra, ginkar poore 12 maatra
Chaahe namoona dekh lo, haaye
Dheere se jaana bagiyan mein
Dheere se jaana bagiyan mein, re
Bhanwra, dheere se jaana bagiyan mein
Hoye, lala, deeng, lala
Hoye, lala, haaye
Ho, ho, ho, tu kala ka hai deewana, kam hai kya tujhko bahaana
Leke ek angdaai mujhpe daal nazar, ban ja deewana
Haan, ye achha hai bahaana, main kala ka hoon deewana
Lekin pehle dedo mera paanch rupaiya, 12 aana
Paanch rupaiya, 12 aana
Maarega bhaiya, na, na, na, na
Bekhabar, pyaar kar, dhan ki duniya kya hai, dhalti chhaya hai
Haaye, haaye, haaye, dilruba, sach kaha, saanch tera pyaar, baaki maaya hai
Tere liye jogi ban sakta hoon, jungle-jungle phir sakta hoon
Chaahe namoona dekh lo, haaye
Teri gatthari mein laaga chor, musafir, jaag zara, tu jaag zara
Teri gatthari mein laaga chor, musafir, jaag zara, tu jaag zara
Teri gatthari mein laaga chor, chor
Ho, ho, ho, main hoon teri, jaan-e-jaana, aa mujhi se lau lagaana
Leke ek angdaai mujhpe daal nazar, ban ja deewana
Jai guru, maine ye maana, tu hai meri, jaan-e-jaana
Lekin pehle dedo mera, yaak, dui, traan, chaar, paanjh
Paanch rupaiya, 12 aana
Paanch rupaiya, 12 aana
Maarega bhaiya, na, na, na, na
Paanch rupaiya, 12 aana, 12 aana, 12 aana