Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Yeh Hath Salamat
Nayyara Noor
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
ye haath salāmat haiñ jab tak
is ḳhuuñ meñ harārat hai jab tak
is dil meñ sadāqat hai jab tak
is nutq meñ tāqat hai jab tak
in tauq-o-salāsil ko ham tum
sikhlāeñge shorish-e-barbat-o-nai
vo shorish jis ke aage zubūñ
hañgāma-e-tabl-e-qaisar-o-kai
hañgāma-e-tabl-e-qaisar-o-kai
āzād haiñ apne fikr o amal
bharpūr ḳhazīna himmat kā
ik umar hai apnī har saa.at
imroz hai apnā har fardā
imroz hai apnā har fardā
ye shām-o-sahar ye shams-o-qamar
ye aḳhtar-o-kaukab apne haiñ
ye lauh-o-qalam ye tabl-o-alam
ye māl-o-hasham sab apne haiñ
ye māl-o-hasham sab apne haiñ
ye haath salāmat haiñ jab tak
is ḳhuuñ meñ harārat hai jab tak
is ḳhuuñ meñ harārat hai jab tak
ye haath salāmat haiñ jab tak
ye haath salāmat haiñ jab tak
ye haath salāmat haiñ jab tak