Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Pururua Urvashi
Shailendra Bharti
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Do premi jab milna chahte hain to dharati aur akash ki duri bhi kam padd jaati hai
Ji haan, dosto, main Shailendra Bharti Vishu Puran se ek aisi prem katha ko laya hu
Jo hazaron saal ke baad bhi amar hai
Vishnu Puran ke alawa is katha ka varnan aapko Bhagwath aur Rigved mein bhi mil jaayega
Katha'on mein thoda bohot antar ho sakta hai
Par premiyon ke mahaan prem ka varnan ek jaisa hai
Ji haan, aur ye premi hain, Pururava aur Urvashi
Budh aur Ila ke putra hue Pururava
Jab Pururava raja bane toh unke roop aur parakram ki dhoom puri prithvi par thi
Phir ye khyaati, prithvi se Swarg Lok tak pahaunchi
Ek baar Narad ji dev sabha mein aaye hue thhe
Aur baat nikli toh dharti tak gayi
Tab Narad ji raja Pururava ke guno ka bakhaan karne lage
Har koyi Pururava ke guno ke baare mein sunkar ke aashcharye mein tha
Par sabse adhik mugdh hui Urvashi
Itna gungaan sun'ne ke baad Urvashi ka dhyaan Pururava ki aur hi rehne laga
Thodi hi der mein jab dev sabha mein nritye, sangeet ka kaaryekram shuru hua
Toh bhi Urvashi, Pururava ke dhyaan mein hi khoyi hui thi
Aapko toh pata hi hai ke uss samay ke logo ke beech mein bhool ka parinaam bhayankar hota tha
Indra, Urvashi par krodhit ho gaye, aur usse dharti par rehne ka shraap de diya
Urvashi, Pururava ke prem mein toh thi hi, ek aur toh usse prasanta hui
Par dusri hi aur woh dharti par humesha nahi rehna chahti thi
Usne Indra ke paanv pakad liye aur apni bhul ke liye shama maangne lagi
Indra ne kaha ke shraap de diya gaya hai toh usse sehna toh padega
Par Indra kuch karke jaldi hi usse dharti se vaapis le aayenge
Bas dosto, yahi se aarambh hua Urvashi aur Pururava ka prem prasang
Urvashii jab prithvi par aakar Pururava se mili
Toh Pururava bhi uske roop ko dekhkar bas dekhta hi reh gaye
Pururava dharmatma raja thhe aur humesha sab kuch dharm ke anusaar karte thhe
Pururava ne ussi samay Urvashi ko apni jeevan sangini banane ka prastaav rakh diya
Urvashi bhi Pururava se prem karti thi
Par vivah se pehle usne Pururava ke saamne teen shartein rakh di
Shartein badi ajeeb thi, par swarg aur prithvi ka milan ho raha tha
Toh samaanye toh iss katha mein kuch tha hi nahi
Urvashi ki teen sharton mein pehli thi ki Pururava uski sehmati se hi samagam kar sakega
Dusri sharat, samagam ke alava Pururava uske saamne kabhi bhi nirvastra nahi aayega
Aur teesri sharat thi Pururava, Urvashi ke putra samaan priye do memno ki raksha karega
Pururava inn sharto ke liye taiyaar ho gaye
Aur phir dono premi anand se saath mein rehne lage
Pururava, Urvashi ke prem mein aise padd gaye thhe
Ki yadi ek pal ke liye bhi uss'se alag hote toh bechain ho jaate
Kuch samay tak aisa hi chata raha
Par Urvashi, Swarg se aayi apsara thi, humesha toh reh nahi sakti thi
Uska shraap bhi pura ho chuka tha, Ab Indra ko koyi chaal chalni thi
Ke Urvashi Swarg mein vaapas aa sake
Indra ne ye kaam Gandhavo ko saunpa
Urvashi se vivaah ke samay uske saath do memne bhi aaye thhe
Jo shayan kaksh mein Urvashi ke palang se hi bandhe rehte thhe
Ek raat, Vishvavasu aur anye Gandharv andhere mein chup-chaap aaye
Aur Urvashi ke dono memno ka apharan karke le gaye
Jab Gandharv lejaane lage, toh memno ne chilana aarambh kar diya
Urvashi uthh gayi aur usne apne memno ko bachane ke liye kaha
Pururava ko Urvashi ki pukaar sunayi di
Wo ussi samay apni talvaar leke bhaage
Aur aisa karte hue unke vastra dharti par gir gaye
Par unhone dhyaan nahi diya, kyonki wo memno ko bachana chahte thhe
Pururava memno ko bachane ke liye bhaag rahe thhe
Tabhi Indra ne akash mein bijli ki kaundh kadi
Charo aur prakash faila, aise mein Urvashi ne Pururava ko bina vastr ke dekh liya
Ye ek bohot badi sharat thi jpo tut chuki thi
Urvashi krodh mein aa gayi aur ussi samaye prithvi se akash ke liye ravana ho gayi
Pururava, Urvashi se atyadhik prem karte thhe
Uske bina rehna unke liye sambhav nahi tha
Kuch karke jab Pururava ne Urvashi ko dhundha
Toh uss'se vaapas aane ki binanti ki
Aisa ek baar ho chuka tha, par kitni baar Swarag aur prithvi ka milan hota
Urvashi ne mana kar diya, tab Pururava ne kaha
Ke Urvashi nahi aayi toh wo apne praan tyaag denge
Iss par Urvashi ka mann paseeja, prem toh wo bhi karti hi thi
Urvashi boli, ki yadi Pururava apne raaj-kaaj par dhyaan de
Toh wo saal ke antt mein ek raatri ke liye Pururava ke paas aayegi
Pururava ne kaha ke ve uss raatri ki pariksha karenge
Ek saal beeta, apne vachan ko Urvashi ne nibhaya
Aur Pururava se milne ke liye aayi
Jab dobara se Pururava aur Urvashi mile
Toh akash mein devta aur Gandharv sab unke prem par mugdh thhe
Unhein laga ke aise prem karne vaalon ko alag karna theek nahi
Devta'on ne Urvashi ko bataya ke Pururava ka prem sacha hai
Issi kaaran se veh yagye karke Swarg ka adhikaari banega
Tarah-tarah ki kayi baadhayein aayi
Par har ek baadha ko paar karte hue
Do premiyon ne ek dusre se milne ka raasta nikaal hi liya
Yahaan tak ke sawayam devta'on ne dono ko milane ke liye aashirvad bhi diya
Dosto, badalta samaye apne saath paribhashayein bhi badal deta hai
Par kabhi aapko samjhna ho ke sacha prem kya hota hai
Toh iss katha ke baare mein kuch sochiyega
Ke kaise devta bhi dono premiyon ko milane ke liye taiyaar ho gaye
Bas ek hi cheez chaiye, ke aapka prem sacha hona chahiye
Phir toh Ihwar ki kripa avashye barsegi
Toh dear friend, always, hardum, harpal ek baat yaad rakhein
Ke sache pyaar se hi ishwar ka saakshatkaar hota hai
Aur prem hi ishwar hai
Apne dost, Shailendra Bharti ko aagya dijiye
Namashkar