Skip to content

Aye Khuda

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Haa. aaa. aaaa... Kaisi khala yeh dil main basi hai Ab toh khalayein fitrat hi si hai Kaisi khala yeh dil main basi hai Ab toh khalayein fitrat hi si hai Main hi hoon wo jo rehmat se gira Aye khuda Gir gaya, gir gaya Main jo tujhse door hua Lut gaya, lut gaya Itni khatayein tu lekar chala hai, Daulat hi jaise tera ab khuda, Har pal bitaayein tu jaise hawa hai, Gunaah ke saaye main chalta raha, Samandar sa behkar tu chalta hi gaya Teri marzi poori ki, tune har dafa Tu hi tera mujrim bandeya Aye khuda Gir gaya, gir gaya Main jo tujhse door hua Lut gaya, lut gaya Kyun judta iss jahan se tu ik din yeh guzar hi jayega, Kitna bhi samet le yaha mutthi se phisal hi jayega, Har shakhs hai dhool se bana aur phir usmein hi ja mila, Yeh haqeeqat hai tu jaanle kyun sach se muh hai pherta, Aaaa... Aaa... Chahe jo bhi hasrat poori karle, Mitegi na hasrat yeh samajhle, Mit jayegi teri hasti, Bhar na payega yeh dil bandeya, Aye khuda Gir gaya, gir gaya Main jo tujhse door hua Lut gaya, lut gaya Haa. aaa. aaaa...