Aaj Jane Ki Zid Na Karo
Asha Bhosle; Bhupinder Singh
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Aaj jaane ki zid na karo
Aaj jaane ki zid na karo
Yun hi pehlu mein baithe raho
Aaj jaane ki zid na karo
Haaye, mar jaayenge
Hum toh lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo
Tum hi socho zara, kyun na rokein tumhein?
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
Tumko apni qasam, jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zid na karo
Waqt ki qaid mein zindagi hai, magar
Chand ghadiyan yahi hain, jo aazaad hain
Inko kho kar kahin, jaan-e-jaan
Umr-bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zid na karo
Kitna masoom rangeen hai yeh samaan
Husn aur ishq ki aaj meraaj hai
Kal ki kis ko khabar, jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo
Aaj jaane ki zid na karo