Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Main Jahaan Rahoon
Rahat Fateh Ali Khan; Krishna Beura
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Main jahaan rahoon, main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai
Kisi se kahoon ke nahin kahoon
Ye jo dil ki baat hai?
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhaai palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Main jahaan rahoon, main kahin bhi hoon
Teri yaad saath hai
Kahin to dil mein yaadon ki ik sooli gad jaati hai
Kahin har ik tasveer bahut hi dhundhli pad jaati hai
Koi nayi duniya ke naye rangon mein khush rehta hai
Koi sab kuchh paake bhi ye man hi man kehta hai
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhaai palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Kahin to beete kal ki jadein dil mein hi utar jaati hain
Kahin jo dhaage toote to maalayein bikhar jaati hain
Koi dil mein jagah nayi baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palkon par yaadon ke diye rakhta hai
Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhaai palti hai
Bas yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai
Teri yaad saath hai (teri yaad saath hai)
Teri yaad saath hai (teri yaad saath hai)