jao na tum
Popularity · Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Yeah, jiyu andhere mein kyu?
Kosu mai khud ka wajood
Chahu aatma-sandeh ki
Keechad se nikal kar uthna
Hu kamal ka phool
Khushi har haal mein khojna
Hai khuda darwaaze khol raha
Ye gaana umeed ki dor hai
Pakde rehna bas haath nahi chodna
Ye unke liye jo udaas hai
Jo minnate karte khuda se
Ye unke liye jo sirf kar rahe guzaara
Aur zinda hai apno ke khaatir
Khaali pet le dabaaye bhookh ko
Hasta chehra le chhupaaye dukh ko
Ye unke liye jo ab zindagi jeene
Ke layak nahi samajhte khudko
Mai bhi hu tumhari jagah pe
Guzarti shaame soch ke janaaze
Iss raah pe toh buzdili aam hai
Thokar hi khaake koi badhe aage
Naa yaad tum, sochu mai kisko?
Sab dagabaaz, kosu mai kisko?
Ye sab mere saath hi kyu hota hai?
Kaun de jawaab? Puchu main kisko?
Mujhe nahi parwaah hai ab kisi ki
Dil befikar, mann mein aaye woh bol raha hai
Ek kaudi nahi kama raha kala se
Aur ye log puche ki gaane kyu chhod raha hai?
Ab woh sirf haatho ko jod raha hai
Khud se kiye vaadon ko tod raha hai
Imaan yahaan bikte hai sabke
Bechna nahi khudka toh paai-paai jod raha hai
(Jaana, jao na tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Maut ek pal ki cheez hai
Zindagi dekh tu kitni badi
(Saath mere raho na tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Kshama bhi jaane ki hona hai rakh
Woh phir bhi jalti rahe
(Jaana, jao naa tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Maut ek pal ki cheez hai
Zindagi dekh tu kitni badi
(Saath mere raho na tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Kshama bhi jaane ki hona hai rakh
Woh phir bhi jalti rahe
Koi mana raha shok hai maa ke dehaant ka
Maatam ab har jagah hai
Koi keh raha alvida premi ko apne
Bichhadne ka waqt jab aaye
Koi raato se chaen ki neend nahi soya
Hai karze ka bhaar jab sar pe
Koi kaat ke pet khila raha bachon ko
Do waqt ki roti nahi ghar pe
Maine bhi kaati hai raate
Maine bhi saha hai dard
Maine chupaye hai aansu iss duniya se
Taaki kam lagu na mard
Bebasi ki cheenkhe maari khuda se
Maula koi jeene ki wajah de
Umeed naa kisi se mujhe
Bas aasra dena, tu hi mera saga hai
Khuda ka haath hai sar pe toh lage na dar
Aur baap ka chehra hamesha saamne aaye
Jab mushkilo se jaana chaahta mukar
Unn ne laga di hai zindagi poori sirf tujhi pe
Toh jo bhi ho jaaye bas chalte rehna, chadhte rehna
Jab tak naa pohonche shikhar
(Jaana, jao na tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Maut ek pal ki cheez hai
Zindagi dekh tu kitni badi
(Saath mere raho na tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Kshama bhi jaane ki hona hai rakh
Woh phir bhi jalti rahe
(Jaana, jao naa tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Maut ek pal ki cheez hai
Zindagi dekh tu kitni badi
(Saath mere raho na tum)
Na jao tum, bas saath raho
Na jao tum, bas saath raho
Kshama bhi jaane ki hona hai rakh
Woh phir bhi jalti rahe