Skip to content

I Wish

Arpit Dayal
Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

I wish hum milte na kabhi to pata ni hota ki pyaar kya hota hai I wish mein hota na samajh to samajh ni pata ki yaar kya hota hai I wish tu thora ruk jaati I wish tu ese na jaati I wish main palat du waqt aur milu tujhse jab main jaan tu laut aaye Wo ladki hai badi masum si wo janti mujhe bakhubi Na jane usme kya baat hai aisi jab dekhu main usey to lagti sukun si Dikhti wo sab se alag hai Boli bhi uski saras hai Mangti nahi wo chand ya taare usko na inse kuch padta farak hai Wo apne sapno me khoyi hui Wo jaagi jaagi lekin soyi hui Wo aayi hai jabse yaha meri kismat bhi jagi jo kabse thi soyi hui Sayad main bol na paun ki mere liye uske mayine kya hai Hidayate bhul na jaun wo mujhe savare to aaine kya hai Tu aisi hi rahna hamesha tu kabhi bhi badal ni jana Tu jaisi hai waisi hai theek tu nikharti rahe bas bikhar ni jana Wo duniya se ladti akele hi mushkil hai usey harana Teri jaisi kahi dekhi nahi tabhi to bana main tera deewana Meri aankhon me basa hasta wo chehra Ab khud se bhi jyada tum mujhko jaruri Mil jao toh ho kahani yе puri jo salo se padi hai jana adhuri Tumhe sayad main kabhi paa nahi sakta Par rab se dua tеri khwaish ho puri Aur tum mujhko aise mil jaogi kahi socha tha maine nahi Tum jaha bhi hogi ab khair se hogi Laga na tha aise tum gair see hogi Chah kar bhi tumhe main chhu nahi sakta Samundra me jaisi tum lahar see hogi Par kuch baatein tumse main keh nahi sakta Ye dariya hai aisa jo beh nahi sakta Tumhe khone se mujhe lagta hai dar Aur tere bina main kahi reh nahi sakta Mohabbat ka diya jalao toh sahi Jara yaadon me mujhko basao toh sahi Kuch kehti hai tumse hamari ye aankhein Jara humse nazre milao to sahi Tere bina jeena mushkil hua Tujhe batana ye mushkil bada Chupa lu toh duniya ye kayar hai kehti Bata du toh kehte tu sayar bada Likhe hai gaane bahut aur teri baaton me bahane bahut Sayad ye gaane tum sun lo kabhi toh phir yaad na karna jamane ko Nazmo se palke bhigane do Armano ko tum ab jalane do Ye gana toh teri nishani hai bas yahi tha tumko batane ko