Skip to content

Barzakh

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Jala dau ab meri umeedon ko Raghon mein khoon bi ruk jae Mita dau ab meri khwahishon ko Ke seenay mein kuch bi rehna jae Khwaab ya haqeeqat Kon hoon mein is baar Kuch bhi nahin mere hath mein Kyun hoon mein lachaar Khwaab? Haqeeqat? Tera wajood? Ek mazak tha, sab bakwas tha Ab bhi tere hath mein kuch nahin Tab bhi tere hath mein kuch na tha Saza dau ab, baandh daalo mujh ko Ke ab mujhe khauf bi na aye Le lo ab mujh se khwaab mere Ke dil mein se umeed bhi mar jae Mein karoon ab tau kya Ke ab wajah hi nahin Kuch bacha hi nahin Ye soch hi re gayi Ke mein ab mein hoon ke nahin Jala dau ab meri umeedon ko Ke khoon bhi zindagi na chahe Saza dau ab maar daalo mujh ko Ke ab mujhe khauf bi na aye Bhula dau ab, saza dau ab, jala dau ab Dua dau ab, dua dau ab, dua dau ab, dua dau ab